SEARCH RESULTS
Showing search results for "दौलत-ए-बेहिसाब"
Sher MATCHES FOR "दौलत-ए-बेहिसाब"
Sher
ham hasiin Gazlo.n se peT bhar nahii.n sakte
daulat-e-suKHan le kar be-faraaG hai.n yaaro
Faza Ibn e Faizi
Sher
jo faqr me.n suruur hai shaahii me.n vo kahaa.n
ham bhii rahe hai.n nashsha-e-daulat me.n chaar din
A G Josh
Sher
KHaak me.n daulat-e-pindaar-o-anaa miltii hai
apnii miTTii se bichha.Dne kii sazaa miltii hai
Iftikhar Arif
Sher
daulat-e-faqr-o-fanaa se hai.n tava.ngar ham log
juutiyaa.n maare.n hai.n iqbaal ke sar par ham log
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
ab mai.n samjhaa tire ruKHsaar pe til kaa matlab
daulat-e-husn pe darbaan biThaa rakkhaa hai
Unknown
Sher
daulat-e-duniyaa nahii.n jaane kii hargiz tere saath
baad tere sab yahii.n ai be-KHabar baT jaa.egii
Bahadur Shah Zafar
Sher
mai.n samajhtaa huu.n mujhe daulat-e-kaunain milii
kaun kahtaa hai ki vo kar ga.e badnaam mujhe
Syed Ehtisham Husain
Sher
vaa.izo mai.n bhii tumhaarii hii tarah masjid me.n
bech duu.n daulat-e-iimaa.n to mazaa aa jaa.e
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
Muneer Shikohabadi
Sher
sher achchhe bhii kaho sach bhii kaho kam bhii kaho
dard kii daulat-e-naayaab ko rusvaa na karo
Abdul Ahad Saaz
Sher
daulat-e-sar huu.n so har jiitne vaalaa lashkar
tasht me.n rakhtaa hai neze pe sajaataa hai mujhe
Irfan Siddiqi
Sher
use to daulat-e-duniyaa bhii kam bhii paane ko
mirii to zaat kaa miizaan bhii ziyaada nahii.n
Vipul Kumar
Sher
kaash daulat-e-Gam hii apne paas bach rahtii
vo bhii un ko de baiThe aisii maat khaa.ii hai