SEARCH RESULTS
Showing search results for "नज़राना"
Sher MATCHES FOR "नज़राना"
Sher
nazraana tere husn ko kyaa de.n ki apne paas
le de ke ek dil hai so TuuTaa hu.aa saa hai
Shahryar
Sher
ab is ke tasavvur se bhii jhukne lagii.n aa.nkhe.n
nazraana diyaa hai jise mai.n ne dil o jaa.n kaa
Ahmad Rahi
Sher
maktab-e-ishq kaa dastuur niraalaa dekhaa
us ko chhuTTii na mile jis ko sabaq yaad rahe
Meer Tahir Ali Rizvi
Sher
ishq kaa zauq-e-nazaara muft me.n badnaam hai
husn KHud be-taab hai jalva dikhaane ke liye
Asrarul Haq Majaz
Sher
kisii se ko.ii bhii ummiid rakhnaa chho.D kar dekho
to ye rishta nibhaanaa kis qadar aasaan ho jaa.e
Waseem Barelvi
Sher
zabaa.n KHaamosh magar nazro.n me.n ujaalaa dekhaa
us kaa iz.haar-e-mohabbat bhii niraalaa dekhaa
Tauqeer Ahmad
Sher
Saud Usmani
Sher
nazar-navaaz nazaara badal na jaa.e kahii.n
zaraa sii baat hai mu.nh se nikal na jaa.e kahii.n
Dushyant Kumar
Sher
vo dil-navaaz hai lekin nazar-shanaas nahii.n
miraa ilaaj mire chaara-gar ke paas nahii.n
Nasir Kazmi
Sher
Moin Ahsan Jazbi
Sher
ab na 'Gaalib' se shikaayat hai na shikva 'miir' kaa
ban gayaa mai.n bhii nishaana reKHta ke tiir kaa
Mohammad Alvi
Sher
Majrooh Sultanpuri
Sher
hu.aa yuu.n ki phir mujhe zindagii ne basar kiyaa
ko.ii din the jab mujhe har nazaara hasii.n milaa