SEARCH RESULTS
Showing search results for "नज़र-अंदाज़"
Sher MATCHES FOR "नज़र-अंदाज़"
Sher
husn ko husn banaane me.n miraa haath bhii hai
aap mujh ko nazar-andaaz nahii.n kar sakte
Rais Farogh
Sher
kaun ab kashmakash-e-ziist se de mujh ko najaat
kar chukaa hai miraa qaatil nazar-andaaz mujhe
Abr Ahsani Ganauri
Sher
raah aasaa.n dekh kar sab KHush the phir mai.n ne kahaa
soch liije ek andaaz-e-nazar meraa bhii hai
Rajinder Manchanda Bani
Sher
chaa.nd niklaa hai ba-andaaz-e-digar aaj kii shaam
baarish-e-nuur hai taa-hadd-e-nazar aaj kii shaam
Arman Akbarabadi
Sher
suntaa huu.n ki KHirman se hai bijlii ko bahut laag
haa.n ek nigaah-e-Galat-andaaz idhar bhii
Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi
Sher
Izhar Asar
Sher
log auro.n ke garebaa.n pe nazar karte hai.n
ham yahii kaam ba-andaaz-e-digar karte hai.n
Moid Rahbar Lakhnavi
Sher
adaa-e-husn kii ma.asuumiyat ko kam kar de
gunaahgaar-e-nazar ko hijaab aataa hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
Galat hai aap kaa andaaza-e-nazar 'qasrii'
buraa zaruur huu.n par is qadar buraa bhii nahii.n
Qasri Kanpuri
Sher
jalva be-baak adaa shoKH tamaashaa gustaaKH
uTh ga.e bazm se aadaab-e-nazar mere baad
Hafeez Hoshiarpuri
Sher
nazar jhuk rahii hai KHamoshii hai lab par
hayaa hai adaa hai ki an-ban hai kyaa hai