SEARCH RESULTS
Showing search results for "नमाज़-ए-इश्क़"
Sher MATCHES FOR "नमाज़-ए-इश्क़"
Sher
mizhgaa.n-zadan se kam hai zamaan-e-namaaz-e-ishq
ho jaave faut vaqt hii jab tak vazuu kare.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
namaaz-e-ishq tumhaarii qubuul ho jaatii
agar sharaab se tum ai 'ratan' vazuu karte
Ratan Pandorwi
Sher
namaaz-e-ishq pa.Dhii to magar ye hosh kise
kahaa.n kahaa.n kiye sajde kahaa.n qayaam kiyaa
Siraj Lakhnavi
Sher
hotii nahii.n hai yuu.nhii adaa ye namaaz-e-ishq
yaa.n shart hai ki apne lahuu se vazuu karo
Khalilur Rahman Azmi
Sher
ai muqallid bul-havas ham se na kar daavaa-e-ishq
daaG laala kii tarah rakhte hai.n maadar-zaad ham
Ishq Aurangabadi
Sher
'ishq' raushan thaa vahaa.n diida-e-aahuu se charaaG
mai.n jo yak raat gayaa qais ke kaashaane me.n
Ishq Aurangabadi
Sher
thaa jis pe naaz kabhii ab vo aarzuu na rahii
niyaaz-e-'ishq kii pahlii sii aabruu na rahii
A. D. Azhar
Sher
baa.ndh ke saf ho.n sab kha.De teG ke saath sar jhuke
aaj to qatl-gaah me.n dhuum se ho namaaz-e-ishq
Sahar Bhopali
Sher
dekhne vaale ye kahte hai.n kitaab-e-dahr me.n
tuu saraapaa husn kaa naqsha hai mai.n tasviir-e-ishq
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn e Insha
Sher
tuu jo talvaar se nahlaa.e lahuu me.n mujh ko
Gusl-e-sehhat hu.aa bhii ishq kii biimaarii se
Kalb-e-husain Nadir
Sher
ye dil kab ishq ke qaabil rahaa hai
kahaa.n is ko dimaaG o dil rahaa hai
Mazhar Mirza Jaan-e-Janaan
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
agar samjho namaaz-e-zaahid-e-maGruur yaaro
hazaaro.n baar behtar-tar hamaarii be-namaazii hai