SEARCH RESULTS
Showing search results for "नर्म"
Sher MATCHES FOR "नर्म"
Sher
raat terii yaado.n ne dil ko is tarah chhe.Daa
jaise ko.ii chuTkii le narm narm gaalo.n me.n
Bashir Badr
Sher
phuul kii pattii se kaT saktaa hai hiire kaa jigar
mard-e-naadaa.n par kalaam-e-narm-o-naazuk be-asar
Allama Iqbal
Sher
naaKHudaa maujo.n kii is narm-KHiraamii pe na jaa
yahii mauje.n to badal jaatii hai.n tuufaano.n me.n
Syed Nawab Afsar Lakhnavi
Sher
dhoke se pilaa dii thii use bhii ko.ii do ghuu.nT
pahle se bahut narm hai vaa.iz kii zabaa.n ab
Riyaz Khairabadi
Sher
jak.Dii hu.ii hai in me.n mirii saarii kaa.enaat
go dekhne me.n narm hai terii kalaa.iyaa.n
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
baaham hu.aa kare.n hai.n din raat niiche uupar
ye narm-shaane lau.nDe hai.n maKHmal-e-do-KHvaabaa
Meer Taqi Meer
Sher
Iqbal Sajid
Sher
mai.n aisaa narm tabii.at kabhii na thaa pahle
zaruur lams ko.ii us kaa chhuu gayaa mujh ko
Ghazanfar
Sher
Sabir Zafar
Sher
abhii sitaaro.n me.n baaqii hai zindagii kii ramaq
kuchh aur der zaraa narm garm chaadar khii.nch
Afroz Alam
Sher
tujh aisii narm garm ka.ii la.Dkiyo.n ke saath
mai.n ne shab-e-firaaq Dubo dii sharaab me.n
Mansoor Aafaque
Sher
KHaak-e-sahraa-e-junuu.n narm hai resham kii tarah
aabla hai na ko.ii aabla-paa mere ba.ad
Shahzad Ahmad
Sher
samajhte hai.n shero.n ko bhii narm chaara
Gazaalaan-e-shahrii se hoshyaar rahnaa
Ismail Merathi
Sher
un ko ai narm havaa KHvaab-e-junuu.n se na jagaa
raat mai-KHaane kii aa.e hai.n guzaare hu.e log
Aziz Hamid Madni
Sher
gaa.nv ke narm ravayyo.n me.n pale hai.n ham log
shahr me.n ko.ii nigah-baan zaruurii hai miyaa.n
Asif Bilal
Sher
ai mohabbat tire anjaam pe ronaa aayaa
jaane kyuu.n aaj tire naam pe ronaa aayaa