SEARCH RESULTS
Showing search results for "नवाब"
Sher MATCHES FOR "नवाब"
Sher
shikast o fat.h miyaa.n ittifaaq hai lekin
muqaabla to dil-e-naa-tavaa.n ne KHuub kiyaa
Navab Mohammad Yar Khan Ameer
Sher
bikhre hu.e KHvaabo.n kii vo tasviir hai shaayad
ab ye bhii nahii.n yaad kahaa.n us se milaa thaa
Nawab Ahsan
Sher
Nawab Ali Asghar
Sher
Navab Sultan Jahan Begam
Sher
naaKHudaa maujo.n kii is narm-KHiraamii pe na jaa
yahii mauje.n to badal jaatii hai.n tuufaano.n me.n
Syed Nawab Afsar Lakhnavi
Sher
mai.n ne kahaa ki daava-e-ulfat magar Galat
kahne lage ki haa.n Galat aur kis qadar Galat
Navab Mohammad Yusuf Ali Khan Bahadur
Sher
numuud-e-sub.h se shab kii vo tiirgii to ga.ii
ye aur baat ki suuraj me.n raushnii kam hai
Syed Nawab Afsar Lakhnavi
Sher
shab-e-firaaq kii tanhaa.iyo.n me.n teraa KHayaal
mire vajuud se kartaa rahaa judaa mujh ko
Nawab Ahsan
Sher
kuchh yaad kar ke aa.nkh se aa.nsuu nikal pa.De
muddat ke baad guzre jo us kii galii se ham
Nawab Saeed
Sher
likh kar jo meraa naam zamii.n par miTaa diyaa
un kaa thaa khel KHaak me.n mujh ko milaa diyaa
Navab Akhtar Mahal akhtar
Sher
kuchh KHauf-e-KHudaa kiijiye is tarah na chaliye
sau baar to is chaal pe talvaar chalii hai
Nawab Begam Hijab
Sher
Nawab Shahabadi
Sher
javaab do ki na do ai buto nahii.n parvaa
kahuu.n jo kuchh vo baraa.e-KHudaa suno to sahii
Nawab Begam Hijab
Sher
ehsaas-e-tiirgii thaa use raushnii ke ba.ad
is KHauf se charaaG kii lau kaa.nptii rahii
Nawab Ahsan
Sher
us ne to chhiinaa thaa mere jism se meraa libaas
jab pahan kar us ne dekhaa to qabaa Dhiilii milii
Nawab Ahsan
Sher
allaah allaah ye ha.ngaama-e-paikaar-e-hayaat
ab vo aavaaz bhii dete hai.n to sunte nahii.n ham
Syed Nawab Afsar Lakhnavi
Sher
Nawab Begam Hijab
Sher
jo us ne kahaa go vahii karte ga.e ham to
is par bhii nigaaho.n se utarte ga.e ham to