SEARCH RESULTS
Showing search results for "नसीम-ए-सहरी"
Sher MATCHES FOR "नसीम-ए-सहरी"
Sher
ai nasiim-e-saharii buu-e-mohabbat le aa
turra-e-yaar satii itr kii mahkaar kuu.n khol
Siraj Aurangabadi
Sher
is taraf bhii kabhii aanaa ki asiiraan-e-qafas
ai nasiim-e-saharii tujh ko du.aa dete hai.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
KHvaab-e-aaraam me.n sotaa thaa vo gul qahr hu.aa
ai nasiim-e-saharii kis ko jagaayaa tuu ne
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
kal qaafila-e-nik.hat-e-gul hogaa ravaana
mat chho.Diyo tuu saath nasiim-e-saharii kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
saakin-e-masjid kabhii gah mo.atakif hai dair kaa
millat-o-diin-e-'nasiim'-e-dehlavii rindaana hai
Naseem Dehlvi
Sher
Naseem Dehlvi
Sher
huduud-e-vaqt ke darvaaze muntazir hai.n 'nasiim'
ki tuu ye faasle kar ke ubuur dastak de
Naseem Sahar
Sher
shaiKH-saahib kii namaaz-e-saharii ko hai salaam
husn-e-niyyat se musalle pe vazuu TuuT gayaa
Shah Naseer
Sher
duniyaa me.n a.ndhero.n ke sivaa aur rahaa kyaa
ik terii tamannaa so charaaG-e-saharii hai
Shahzad Ahmad
Sher
shab magar rah ga.ii tho.Dii jo nazar aataa hai
har sitaare me.n charaaG-e-saharii kaa aalam
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
tumhe.n kuchh is kii KHabar bhii hai ai chaman vaalo
sahar ke baa'd nasiim-e-sahar pe kyaa guzrii
Jagan Nath Azad
Sher
us ke jaane se miraa dil hai mire siine me.n
dam kaa mehmaan charaaG-e-saharii kii suurat
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
mai.n tere Dar se na dekhaa udhar bahut shab-e-vasl
sitaara-e-saharii mujh ko aa.nkh maar rahaa