SEARCH RESULTS
Showing search results for "नागवार"
Sher MATCHES FOR "नागवार"
Sher
vo baat saare fasaane me.n jis kaa zikr na thaa
vo baat un ko bahut naa-gavaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
kabhii bhuul kar kisii se na karo suluuk aisaa
ki jo tum se ko.ii kartaa tumhe.n naagavaar hotaa
Ismail Merathi
Sher
marnaa to is jahaa.n me.n ko.ii haadisa nahii.n
is daur-e-naagavaar me.n jiinaa kamaal hai
Ghulam Hasan Hasani
Sher
hotii hai duusro.n ko hamesha ye naagavaar
apne sivaa kisii ko nasiihat na kiijiye
Sahir Siyalkoti
Sher
shab-e-firaaq kii zulmat hai naa-gavaar mujhe
naqaab uThaa ki sahar kaa hai intizaar mujhe
Anwar Sabri
Sher
unhii.n ko arz-e-vafaa kaa thaa ishtiyaaq bahut
unhii.n ko arz-e-vafaa naa-gavaar guzrii hai
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
dil kii dha.Dkan bhii hai un ko naagavaar
un se kuchh kahne kii jur.at kyaa kare.n
Salam Sandelvi
Sher
shikast o fat.h miyaa.n ittifaaq hai lekin
muqaabla to dil-e-naa-tavaa.n ne KHuub kiyaa
Navab Mohammad Yar Khan Ameer
Sher
Thaanii thii dil me.n ab na mile.nge kisii se ham
par kyaa kare.n ki ho ga.e naa-chaar jii se ham
Momin Khan Momin
Sher
KHvaab kaa kyaa hai raat ke naqsh-o-nigaar banaa.o
raat ke naqsh-o-nigaar banaa.o KHvaab kaa kyaa hai
Daniyal Tareer
Sher
saudaa-e-ishq aur hai vahshat kuchh aur shai
majnuu.n kaa ko.ii dost fasaana-nigaar thaa
Bekhud Dehlvi
Sher
maut aa jaa.e vabaa me.n ye alag baat magar
ham tire hijr me.n naaGa to nahii.n kar sakte
Sabir Aafaque
Sher
ek naa-tavaa.n rishta us se ab bhii baaqii hai
jis tarah du.aa.o.n kaa aur asar kaa rishta hai
Abbas Rizvi
Sher
mire vajuud ke KHushbuu-nigaar sahraa me.n
vo mil ga.e hai.n to mil kar bichha.D bhii sakte hai.n