SEARCH RESULTS
Showing search results for "नाचार"
Sher MATCHES FOR "नाचार"
Sher
Thaanii thii dil me.n ab na mile.nge kisii se ham
par kyaa kare.n ki ho ga.e naa-chaar jii se ham
Momin Khan Momin
Sher
raqiib jam ke ye baiThaa ki ham uThe naa-chaar
ye patthar ab na haTaa.e haTe hai kyaa kiije
Waliullah Muhib
Sher
kahte the ham na dekh sake.n roz-e-hijr ko
par jo KHudaa dikhaa.e so naa-chaar dekhnaa
Mohammad Rafi Sauda
Sher
aag se paanii me.n bujhte vaqt uThtii hai sadaa
har ko.ii darmaa.ndagii me.n naale se naa-chaar hai
Mirza Ghalib
Sher
Nawab Begam Hijab
Sher
asar hove na hove par balaa se jii to bahlegaa
nikaalaa shaGl tanhaa.ii me.n mai.n naa-chaar rone kaa
Meer Hasan
Sher
naa-chaar hai dil zulf-e-girah-giir ke aage
diivaane kaa kyaa chaltaa hai zanjiir ke aage
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
KHaak aab-e-girya se aatish bujhe naa-chaar ham
jaanib-e-kuu-e-butaa.n juu.n baad-e-sarsar jaa.e.nge