SEARCH RESULTS
Showing search results for "नींदों"
Sher MATCHES FOR "नींदों"
Sher
niindo.n me.n phir rahaa huu.n use Dhuu.nDhtaa hu.aa
shaamil jo ek KHvaab mire rat-jage me.n thaa
Ahmad Mushtaq
Sher
kin niindo.n ab tuu sotii hai ai chashm-e-girya-naak
mizhgaa.n to khol shahr ko sailaab le gayaa
Meer Taqi Meer
Sher
na ko.ii rok sakaa KHvaab ke safiiro.n ko
udaas kar ga.e niindo.n ke raahgiiro.n ko
Adil Mansuri
Sher
jin ko nii.ndo.n kii na ho chaadar nasiib
un se KHvaabo.n kaa hasii.n bistar na maa.ng
Tahir Faraz
Sher
hijr ik vaqfa-e-bedaar hai do nii.ndo.n me.n
vasl ik KHvaab hai jis kii ko.ii ta.abiir nahii.n
Ahmad Mushtaq
Sher
KHvaab aur niindo.n kaa KHatm ho gayaa rishta
muddato.n se aa.nkho.n me.n rat-jago.n kaa mausam hai
Syeda Nafis Bano shama
Sher
palko.n pe Gam-e-hijr ke sab diip jalaa.e
nii.ndo.n ke shabistaan me.n bhaarii mirii aa.nkhe.n
Isma Hadia
Sher
ko.ii shab Dhuu.nDtii thii mujh ko aur mai.n
tirii niindo.n me.n jaa kar so gayaa thaa
Ateequllah
Sher
mub.ham se ek KHvaab kii ta.abiir kaa hai shauq
niindo.n me.n baadalo.n kaa safar tez abhii se hai
Aziz Hamid Madni
Sher
Qateel Shifai
Sher
uTho ye manzar-e-shab-taab dekhne ke liye
ki nii.nd shart nahii.n KHvaab dekhne ke liye
Irfan Siddiqi
Sher
ye sard raat ye aavaargii ye nii.nd kaa bojh
ham apne shahr me.n hote to ghar ga.e hote