SEARCH RESULTS
Showing search results for "पंडित-जी"
Sher MATCHES FOR "पंडित-जी"
Sher
jab na jiite-jii mire kaam aa.egii
kyaa ye duniyaa aaqibat baKHshvaa.egii
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
jab mile do dil muKHil phir kaun hai
baiTh jaa.o KHud hayaa uTh jaa.egii
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
sikka apnaa nahii.n jamtaa hai tumhaare dil par
naqsh aGyaar ke kis taur se jam jaate hai.n
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
jam ga.e raah me.n ham naqsh-e-qadam kii suurat
naqsh-e-paa raah dikhaate hai.n ki vo aate hai.n
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
Vilas Pandit Musafir
Sher
hu.aa na qurb-e-ta.alluq kaa iKHtisaas yahaa.n
ye ruu-shanaas zi-raa-e-ba.iida aayaa thaa
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
junuu.n kii chaak-zanii ne asar kiyaa vaa.n bhii
jo KHat me.n haal likhaa thaa vo KHat kaa haal hu.aa
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
mahv-e-liqaa jo hai.n malakuutii-KHisaal hai.n
bedaar ho ke bhii nazar aate hai.n KHvaab me.n
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
ushshaaq jo tasavvur-e-barzaKH ke ho ga.e
aatii hai dam-ba-dam ye unhii.n ko sadaa-e-qalb
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
chhuu le sabaa jo aa ke mire gul-badan ke paa.nv
qaa.em na ho.n chaman me.n nasiim-e-chaman ke paa.nv
Pandit Jawahar Nath Saqi
Sher
chalaa duKHtar-e-raz ko le kar jo saaqii
farishta hu.e saath ghar dekhne ko
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
jo din ko niklo to KHurshiid gird-e-sar ghuume
chalo jo shab ko to qadmo.n pe maahtaab gire
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
ma.anii-e-raushan jo ho.n to sau se behtar ek sher
matla-e-KHurshiid kaafii hai pa.e-diivaan-e-sub.h
Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi
Sher
kyaa lutf jo Gair parda khole
jaaduu vo jo sar pe cha.Dh ke bole