SEARCH RESULTS
Showing search results for "पयाम"
Sher MATCHES FOR "पयाम"
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
sukuun de na sakii.n raahate.n zamaane kii
jo nii.nd aa.ii tire Gam kii chhaa.nv me.n aa.ii
Payam Fatehpuri
Sher
ek muddat se na qaasid hai na KHat hai na payaam
apne va.ade ko to kar yaad mujhe yaad na kar
Jalal Manikpuri
Sher
qaasid payaam-e-shauq ko denaa bahut na tuul
kahnaa faqat ye un se ki aa.nkhe.n taras ga.ii.n
Jaleel Manikpuri
Sher
ajiib shai hai tasavvur kii kaar-farmaa.ii
hazaar mahfil-e-ra.ngii.n shariik-e-tanhaa.ii
Payam Fatehpuri
Sher
va.ada nahii.n payaam nahii.n guftuguu nahii.n
hairat hai ai KHudaa mujhe kyuu.n intizaar hai
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
'mullaa' banaa diyaa hai ise bhii mahaaz-e-ja.ng
ik sulh kaa payaam thii urdu zabaa.n kabhii
Anand Narayan Mulla
Sher
Jigar Moradabadi
Sher
qaasid nahii.n ye kaam tiraa apnii raah le
us kaa payaam dil ke sivaa kaun laa sake
Khwaja Meer Dard
Sher
payaam-bar na mayassar hu.aa to KHuub hu.aa
zabaan-e-Gair se kyaa sharh-e-aarzuu karte
Haidar Ali Aatish
Sher
nafas nafas pe yahaa.n rahmato.n kii baarish hai
hai bad-nasiib jise zindagii na raas aa.ii
Payam Fatehpuri
Sher
malaamato.n se junuu.n me.n na kuchh kamii aa.ii
jaraahato.n se ba.Dhii zaKHm-e-dil kii ra.anaa.ii
Payam Fatehpuri
Sher
kabhii payaam na bhejaa buto.n ne mere paas
KHudaa hai.n kaise ki paiGaambar nahii.n rakhte
Muneer Shikohabadi
Sher
sabaa ye un se hamaaraa payaam kah denaa
ga.e ho jab se yahaa.n sub.h-o-shaam hii na hu.ii
Jigar Moradabadi
Sher
go aap ne javaab buraa hii diyaa vale
mujh se bayaa.n na kiije aduu ke payaam ko
Momin Khan Momin
Sher
KHushii visaal kii ab hai na ra.nj-e-tanhaa.ii
ye kis maqaam pe mujh ko hayaat le aa.ii
Payam Fatehpuri
Sher
harf jaise ho ga.e saare munaafiq ek dam
kaun se lafzo.n me.n samjhaa.uu.n tumhe.n dil kaa payaam
Farhat Shahzad
Sher
qaasid payaam un kaa na kuchh der abhii sunaa
rahne de mahv-e-lazzat-e-zauq-e-KHabar mujhe