SEARCH RESULTS
Showing search results for "पलट"
Sher MATCHES FOR "पलट"
Sher
suurmaa jis ke kinaaro.n se palaT aate hai.n
mai.n ne kashtii ko utaaraa hai usii paanii me.n
Sarvat Husain
Sher
tum phir usii adaa se a.ng.Daa.ii le ke ha.ns do
aa jaa.egaa palaT kar guzraa hu.aa zamaana
Shakeel Badayuni
Sher
shaam Dhalne se faqat shaam nahii.n Dhaltii hai
umr Dhal jaatii hai jaldii palaT aanaa mire dost
Ashfaq Nasir
Sher
Ahmad Mushtaq
Sher
tamaam KHaana-ba-dosho.n me.n mushtarak hai ye baat
sab apne apne gharo.n ko palaT ke dekhte hai.n
Iftikhar Arif
Sher
Sahir Ludhianvi
Sher
tamaam umr sitaare talaash kartaa phiraa
palaT ke dekhaa to mahtaab mere saamne thaa
Saleem Kausar
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
palaT sakuu.n hii na aage hii ba.Dh sakuu.n jis par
mujhe ye kaun se raste lagaa gayaa ik shaKHs
Obaidullah Aleem
Sher
Ghulam Husain Sajid
Sher
haa.n ye KHataa hu.ii thii ki ham uTh ke chal diye
tum ne bhii to palaT ke pukaaraa nahii.n hame.n
Nasir Zaidi
Sher
kisii ne phir se lagaa.ii sadaa udaasii kii
palaT ke aane lagii hai fazaa udaasii kii
Shahida Majeed
Sher
palaT ke aa ga.ii KHeme kii samt pyaas mirii
phaTe hu.e the sabhii baadalo.n ke mashkiize