SEARCH RESULTS
Showing search results for "पाबंद"
Sher MATCHES FOR "पाबंद"
Sher
raat to vaqt kii paaband hai Dhal jaa.egii
dekhnaa ye hai charaaGo.n kaa safar kitnaa hai
Waseem Barelvi
Sher
ko.ii paaband-e-mohabbat hii bataa saktaa hai
ek diivaane kaa zanjiir se rishta kyaa hai
Fana Nizami Kanpuri
Sher
ishq paaband-e-vafaa hai na ki paaband-e-rusuum
sar jhukaane ko nahii.n kahte hai.n sajda karnaa
Aasi uldani
Sher
banaa letaa hai mauj-e-KHuun-e-dil se ik chaman apnaa
vo paaband-e-qafas jo fitratan aazaad hotaa hai
Asghar Gondvi
Sher
apnii parvaaz ko mai.n samt bhii KHud hii duu.ngaa
tuu mujhe apnii rivaayaat kaa paaband na kar
Nami Ansari
Sher
KHuun hotaa hai sahar tak mire armaano.n kaa
shaam-e-va.ada jo vo paaband-e-hinaa hotaa hai
Qamar Jalalvi
Sher
siikh le ham se ko.ii zabt-e-junuu.n ke andaaz
barso.n paaband rahe par na hilaa.ii zanjiir
Karamat Ali Shaheedi
Sher
Ishrat Zafar
Sher
hai.n diin ke paaband na duniyaa ke muqayyad
kyaa ishq ne is bhuul-bhulayyaa.n se nikaalaa
Kalb-e-husain Nadir
Sher
diin o duniyaa kaa jo nahii.n paaband
vo faraaGat tamaam rakhtaa hai
Gulam Yahya Huzur Azimabadi
Sher
raas aatii nahii.n ab mere lahuu ko ko.ii KHaak
aisaa is jism kaa paaband-e-salaasil hu.aa mai.n
Salim Saleem
Sher
fikr-e-sitam me.n aap bhii paaband ho ga.e
tum mujh ko chho.D do to mai.n tum ko rihaa karuu.n
Qalaq Merathi
Sher
ka.aba-o-dair ek samajhte hai.n ri.nd-e-paak
paaband ye nahii.n hai.n haraam-o-halaal ke
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
aisaa gulshan kii siyaasat ne kiyaa hai paaband
ham asiiraan-e-qafas aah bhii karne ke nahii.n
Zafar Ahmad Siddiqi
Sher
Natiq Gulavthi
Sher
Talib Ali Khaan Aishi
Sher
kisii paaband-e-Gam kii zindagii kyaa
kabhii naale kabhii fariyaad karnaa