SEARCH RESULTS
Showing search results for "पिंड"
Sher MATCHES FOR "पिंड"
Sher
Syed Gulam Mohammad Mast Kalkattvi
Sher
kuchh bhii bachaa na kahne ko har baat ho ga.ii
aa.o kahii.n sharaab piye.n raat ho ga.ii
Nida Fazli
Sher
ye soch ke maa.n baap kii KHidmat me.n lagaa huu.n
is pe.D kaa saayaa mire bachcho.n ko milegaa
Munawwar Rana
Sher
pe.D ke kaaTne vaalo.n ko ye maaluum to thaa
jism jal jaa.e.nge jab sar pe na saaya hogaa
Kaifi Azmi
Sher
pahle sharaab ziist thii ab ziist hai sharaab
ko.ii pilaa rahaa hai piye jaa rahaa huu.n mai.n
Jigar Moradabadi
Sher
vo jis kii chhaa.nv me.n pachchiis saal guzre hai.n
vo pe.D mujh se ko.ii baat kyuu.n nahii.n kartaa
Tahzeeb Hafi
Sher
ye ek pe.D hai aa is se mil ke ro le.n ham
yahaa.n se tere mire raaste badalte hai.n
Bashir Badr
Sher
shahr kyaa dekhe.n ki har manzar me.n jaale pa.D ga.e
aisii garmii hai ki piile phuul kaale pa.D ga.e
Rahat Indori
Sher
gar kabhii ronaa hii pa.D jaa.e to itnaa ronaa
aa ke barsaat tire saamne tauba kar le
Munawwar Rana
Sher
haa.e vo vaqt ki jab be-piye mad-hoshii thii
haa.e ye vaqt ki ab pii ke bhii maKHmuur nahii.n
Asrarul Haq Majaz
Sher
zaraa chhu.aa thaa ki bas pe.D aa giraa mujh par
kahaa.n KHabar thii ki andar se khokhlaa hai bahut
Rajinder Manchanda Bani
Sher
kis qadar yaade.n ubhar aa.ii hai.n tere naam se
ek patthar phe.nkne se pa.D ga.e kitne bha.nvar
Amjad Islam Amjad
Sher
Hammad Niyazi
Sher
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
shaam ke saa.e me.n jaise pe.D kaa saayaa mile
mere miTne kaa tamaashaa dekhne kii chiiz thii