SEARCH RESULTS
Showing search results for "पिरो"
Sher MATCHES FOR "पिरो"
Sher
motii piro ke zulf me.n aKHtar banaa diye
tuu ne a.ndherii raat me.n taare dikhaa diye
Sir Florence Feliz Matloob
Sher
vo apnii umr ko pahle piro letaa hai Dorii me.n
phir us ke baa'd gintii umr kii din raat kartaa hai
Wazir Agha
Sher
judaa jo ho ga.e tasbiih-e-roz-o-shab se 'adiil'
mai.n zindagii me.n vo daane piro nahii.n saktaa
Adeel Zaidi
Sher
Jaun Eliya
Sher
chup-chaap suntii rahtii hai pahro.n shab-e-firaaq
tasviir-e-yaar ko hai mirii guftuguu pasand
Dagh Dehlvi
Sher
royaa kare.nge aap bhii pahro.n isii tarah
aTkaa kahii.n jo aap kaa dil bhii mirii tarah
Momin Khan Momin
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
fasl-e-bahaar aa.ii piyo suufiyo sharaab
bas ho chukii namaaz musallaa uThaa.iye
Haidar Ali Aatish
Sher
goyaa tumhaarii yaad hii meraa ilaaj hai
hotaa hai pahro.n zikr tumhaaraa tabiib se
Agha Hashr Kashmiri
Sher
kaa.nTo.n me.n ghire phuul ko chuum aa.egii lekin
titlii ke paro.n ko kabhii chhilte nahii.n dekhaa
Parveen Shakir
Sher
jaatii hai dhuup ujle paro.n ko sameT ke
zaKHmo.n ko ab ginuu.ngaa mai.n bistar pe leT ke
Shakeb Jalali
Sher
us se bichha.Dte vaqt mai.n royaa thaa KHuub-saa
ye baat yaad aa.ii to pahro.n ha.nsaa kiyaa
Mohammad Alvi
Sher
aur kuchh bhii mujhe darkaar nahii.n hai lekin
merii chaadar mire pairo.n ke baraabar kar de
Shahid Meer
Sher
Bashir Badr
Sher
vaa.iz na tum piyo na kisii ko pilaa sako
kyaa baat hai tumhaarii sharaab-e-tuhuur kii
Mirza Ghalib
Sher
mat baiTh aashiyaa.n me.n paro.n ko sameT kar
kar hausla kushaada fazaa me.n u.Daan kaa