SEARCH RESULTS
Showing search results for "पीर-ज़ाल"
Sher MATCHES FOR "पीर-ज़ाल"
Sher
phir kahii.n baiTh ke pii jaa.e ikaTThe chaa.e
phir ko.ii shaam kaa pal saath guzaaraa jaa.e
Iman Qaisrani
Sher
itnii pii jaa.e ki miT jaa.e mai.n aur tuu kii tamiiz
yaanii ye hosh kii diivaar giraa dii jaa.e
Farhat Shahzad
Sher
raat ik uj.De makaa.n par jaa ke jab aavaaz dii
guu.nj uTThe baam-o-dar merii sadaa ke saamne
Muneer Niyazi
Sher
ab vo raunaq hii nahii.n kis liye chhat par jaa.uu.n
kho ga.e shaam ke manzar me.n gulaabii chehre
Syed Adeel Gilanii
Sher
Azm Bahzad
Sher
saaqii vo KHaas taur kii ta.aliim de mujhe
us mai-kade me.n jaa.uu.n to piir-e-muGaa.n rahuu.n
Muztar Khairabadi
Sher
har mauj gale lag ke ye kahtii hai Thahar jaa.o
dariyaa kaa ishaara hai ki ham paar utar jaa.e.n
Akhtar Saeed Khan
Sher
mohtasib bhii pii ke mai loTe hai maiKHaane me.n aaj
haath laa piir-e-muGaa.n ye lauTne kii jaa.e hai
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
aag jangal me.n lagii hai duur dariyaa.o.n ke paar
aur ko.ii shahr me.n phirtaa hai ghabraayaa hu.aa
Zafar Iqbal
Sher
ko.ii to baat hai pichhle pahar me.n raato.n ke
ye band kamra ajab raushnii se bhar jaa.e
Akhilesh Tiwari
Sher
nigah buland suKHan dil-navaaz jaa.n pur-soz
yahii hai raKHt-e-safar miir-e-kaarvaa.n ke liye
Allama Iqbal
Sher
suntaa huu.n un kii bazm me.n chhalke.nge aaj jaam
mai.n bhii chalaa huu.n diida-e-pur-nam liye hu.e
Jaleel Manikpuri
Sher
aa.ina saamne ab aaTh pahar rahtaa hai
kahii.n aisaa na ho ye madd-e-muqaabil ho jaa.e
Mubarak Azimabadi
Sher
lahuu ke paar ko.ii muntazir hai aaKHir-e-shab
kamaal-e-zabt se aage safar kiyaa jaa.e
Moid Rasheedi
Sher
zulf-e-pur-pech ke saude me.n ajab kyaa imkaa.n
gar ulajh jaa.e KHariidaar KHariidaar ke saath