SEARCH RESULTS
Showing search results for "पुराने"
Sher MATCHES FOR "पुराने"
Sher
hamaare zaKHm-e-tamannaa puraane ho ga.e hai.n
ki us galii me.n ga.e ab zamaane ho ga.e hai.n
Jaun Eliya
Sher
zehn me.n yaad ke ghar TuuTne lagte hai.n 'shahaab'
log ho jaate hai.n jii jii ke puraane kitne
Mustafa Shahab
Sher
puraane yaar bhii aapas me.n ab nahii.n milte
na jaane kaun kahaa.n dil lagaa ke baiTh gayaa
Fazil Jamili
Sher
ik nayaa zaKHm milaa ek na.ii umr milii
jab kisii shahr me.n kuchh yaar puraane se mile
Kaif Bhopali
Sher
Ali Sardar Jafri
Sher
puraane log dariyaa.o.n me.n nekii Daal aate the
hamaare daur kaa insaan nekii kar ke chiiKHegaa
Zubair Rizvi
Sher
Khushbir Singh Shaad
Sher
udaas shaam kii yaado.n bharii sulagtii havaa
hame.n phir aaj puraane dayaar le aa.ii
Rajinder Manchanda Bani
Sher
mai.n apne shahr se maayuus ho ke lauT aayaa
puraane sog base the na.e makaano.n me.n
Saqi Faruqi
Sher
Zafar Gorakhpuri
Sher
juz tire ko.ii bhii din raat na jaane mere
tuu kahaa.n hai magar ai dost puraane mere
Ahmad Faraz
Sher
Gulzar
Sher
tiir pe tiir nishaano.n pe nishaane badle
shukr hai husn ke andaaz puraane badle