SEARCH RESULTS
Showing search results for "पेड़ों"
Sher MATCHES FOR "पेड़ों"
Sher
puuchh rahe hai.n mujh se pe.Do.n ke saudaagar
aab-o-havaa kaise zahriilii ho jaatii hai
Alam Khursheed
Sher
be-samar pe.Do.n ko chuume.nge sabaa ke sabz lab
dekh lenaa ye KHizaa.n be-dast-o-paa rah jaa.egii
Amjad Islam Amjad
Sher
sabz pe.Do.n ko pata tak nahii.n chaltaa shaayad
zard patte bhare manzar se nikal jaate hai.n
Tauqeer Taqi
Sher
pe.Do.n kii tarah husn kii baarish me.n nahaa luu.n
baadal kii tarah jhuum ke ghar aa.o kisii din
Amjad Islam Amjad
Sher
shaam KHaamosh hai pe.Do.n pe ujaalaa kam hai
lauT aa.e hai.n sabhii ek parinda kam hai
Faheem Jogapuri
Sher
jaane kyaa kyaa zulm parinde dekh ke aate hai.n
shaam Dhale pe.Do.n par marsiya-KHvaanii hotii hai
Afzal Khan
Sher
Kaleem Haider Sharar
Sher
Rajesh Reddy
Sher
kis zaalim ne par pe.Do.n ke kaaT diye
aag ugaltii dhuup me.n saaya kahii.n nahii.n
Zameer Azhar
Sher
vo jaan-e-nau-bahaar jidhar se guzar gayaa
pe.Do.n ne phuul patto.n se rasta chhupaa liyaa
Adil Mansuri
Sher
dekhnaa saath hii chhuuTe na buzurgo.n kaa kahii.n
patte pe.Do.n pe lage ho.n to hare rahte hai.n
Waseem Barelvi
Sher
chand pe.Do.n ko hii majnuu.n kii du.aa hotii hai
sab daraKHto.n pe to patthar nahii.n aayaa kartaa
Ahmad Kamran
Sher
Ataul Hasan
Sher
aam ke pe.Do.n ke saare phal sunahre ho ga.e
is baras bhii raasta kyuu.n ro rahaa thaa dekhte
Ambar Bahraichi
Sher
pe.Do.n kii ghanii chhaa.nv aur chait kii hiddat thii
aur aise bhaTakne me.n anjaan sii lazzat thii