SEARCH RESULTS
Showing search results for "फ़ख़्र-ए-मुबारकबाद"
Sher MATCHES FOR "फ़ख़्र-ए-मुबारकबाद"
Sher
kyaa KHabar hai ham se mahjuuro.n kii un ko roz-e-iid
jo gale mil kar baham sarf-e-mubaarakbaad hai.n
Munawar Khan Ghafil
Sher
miraa faKHr-e-hayaatii aaj bhii kirdaar hai meraa
isii nag se muzayyan turra-e-dastaar hai meraa
Raakesh ulfat
Sher
jo faqr me.n suruur hai shaahii me.n vo kahaa.n
ham bhii rahe hai.n nashsha-e-daulat me.n chaar din
A G Josh
Sher
har shaKHs mo'tarif ki muhibb-e-vatan huu.n mai.n
phir adliya ne kyuu.n sar-e-maqtal kiyaa mujhe
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
har shaKHs dau.Dtaa hai yahaa.n bhii.D kii taraf
phir ye bhii chaahtaa hai use raastaa mile
Waseem Barelvi
Sher
har mulaaqaat kaa anjaam judaa.ii thaa agar
phir ye ha.ngaama mulaaqaat se pahle kyaa thaa
Ejaz Gul
Sher
agar na zohra-jabiino.n ke darmiyaa.n guzre
to phir ye kaise kaTe zindagii kahaa.n guzre
Jigar Moradabadi
Sher
dar-o-diivaar pe shakle.n sii banaane aa.ii
phir ye baarish mirii tanhaa.ii churaane aa.ii
Kaif Bhopali
Sher
Hasan Barelvi
Sher
phir ye Gurbat nahii.n kartii hai ta.aaqub us kaa
jab ko.ii shaKHs mohabbat ko kamaane nikle
Dr. Yasin Aatir
Sher
pahle to bolte hai.n bharosa hai aap par
phir ye bhii chaahte hai.n vafaa kaa hisaab duu.n
Raghvendra Dwivedi
Sher
hai rishta ek phir ye kashaakash na chaahiye
achchhaa nahii.n hai sub.ha kaa zunnaar se bigaa.D