SEARCH RESULTS
Showing search results for "फ़राग़"
Sher MATCHES FOR "फ़राग़"
Sher
ranjish hii sahii dil hii dukhaane ke liye aa
aa phir se mujhe chho.D ke jaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
Azhar Faragh
Sher
daftar se mil nahii.n rahii chhuTTii vagarna mai.n
baarish kii ek buu.nd na be-kaar jaane duu.n
Azhar Faragh
Sher
tujhe kitaab se mumkin nahii.n faraaG ki tuu
kitaab-KHvaa.n hai magar saahib-e-kitaab nahii.n
Allama Iqbal
Sher
Azhar Faragh
Sher
terii sharto.n pe hii karnaa hai agar tujh ko qubuul
ye suhulat to mujhe saaraa jahaa.n detaa hai
Azhar Faragh
Sher
Faragh Rohvi
Sher
mujh me.n hai yahii aib ki auro.n kii tarah mai.n
chehre pe kabhii duusraa chehraa nahii.n rakhtaa
Faragh Rohvi
Sher
kisii ne raah kaa patthar hamii.n ko Thahraayaa
ye aur baat ki phir aa.iina hamii.n Thahre
Faragh Rohvi
Sher
Ahmad Faraz
Sher
KHato.n ko kholtii diimak kaa shukriya varna
ta.Dap rahii thii lifaafo.n me.n be-zabaanii pa.Dii
Azhar Faragh
Sher
ye nahii.n dekhte kitnii hai riyaazat kis kii
log aasaan samajh lete hai.n aasaanii ko
Azhar Faragh
Sher
mai.n jaantaa huu.n mujhe mujh se maa.ngne vaale
paraa.ii chiiz kaa jo log haal karte hai.n
Azhar Faragh
Sher
ik din vo mere aib ginaane lagaa 'faraaG'
jab KHud hii thak gayaa to mujhe sochnaa pa.Daa
Faragh Rohvi
Sher
bataa rahaa hai jhaTaknaa tirii kalaa.ii kaa
zaraa bhii ranj nahii.n hai tujhe judaa.ii kaa
Azhar Faragh
Sher
hamaare tan pe ko.ii qiimtii qabaa na sahii
Gazal ko apnii magar KHush-libaas rakhte hai.n