SEARCH RESULTS
Showing search results for "फ़लसफ़े"
Sher MATCHES FOR "फ़लसफ़े"
Sher
ishq me.n tahziib ke hai.n aur hii kuchh falsafe
tujh se ho kar ham KHafaa KHud se KHafaa rahne lage
Alam Khursheed
Sher
falsafe saare kitaabo.n me.n ulajh kar rah ga.e
dars-gaaho.n me.n nisaabo.n kii thakan baaqii rahii
Naseer Ahmad Nasir
Sher
falsafii ko bahs ke andar KHudaa miltaa nahii.n
Dor ko suljhaa rahaa hai aur siraa miltaa nahii.n
Akbar Allahabadi
Sher
kuchh nahii.n kaar-e-falak haadsa-paashii ke sivaa
falsafa kuchh nahii.n alfaaz-taraashii ke sivaa
Akbar Allahabadi
Sher
'sadaa' ke paas hai duniyaa kaa tajraba vaa.iz
tumhaarii baat me.n bas falsafa kitaab kaa hai
Sada Ambalvi
Sher
subuu-e-falsafa-e-ishq-o-kahkashaan-e-hayaat
shu.aa-e-qahr-e-tabassum charaaG-e-diida-e-nam
Izhaar Malihabadi
Sher
abhii se falsafa-e-reg-zaar kii baate.n
abhii to 'ishq ke maktab me.n haazirii hu.ii hai
Shehzad Anjum Burhani
Sher
hayaat-o-maut kaa ye falsafa bajaa lekin
daruun-e-KHaak miraa dil zaruur dha.Dkegaa
Ahmad Waqas Mahrwi
Sher
hayaat-o-maut kaa ye falsafa bajaa lekin
daruun-e-KHaak miraa dil zaruur dha.Dkegaa