SEARCH RESULTS
Showing search results for "फ़ारूक़"
Sher MATCHES FOR "फ़ारूक़"
Sher
din kisii tarah se kaT jaa.egaa sa.Dko.n pe 'shafaq'
shaam phir aa.egii ham shaam se ghabraa.e.nge
Farooq Shafaq
Sher
pichhlaa baras to KHuun rulaa kar guzar gayaa
kyaa gul khilaa.egaa ye nayaa saal dosto
Farooq Engineer
Sher
hai harf harf zaKHm kii suurat khilaa hu.aa
fursat mile to tum miraa diivaan dekhnaa
Zubair Farooq
Sher
mire naaKHudaa na ghabraa ye nazar hai apnii apnii
tire saamne hai tuufaa.n mire saamne kinaaraa
Farooq Banspari
Sher
Zubair Farooq
Sher
hai.n raakh raakh magar aaj tak nahii.n bikhre
kaho havaa se hamaarii misaal le aa.e
Farooq Shamim
Sher
yaqii.n mujhe bhii hai vo aa.e.nge zaruur magar
vafaa karegii kahaa.n tak ki zindagii hii to hai
Farooq Banspari
Sher
ye aur baat ki un ko yaqii.n nahii.n aayaa
pa ko.ii baat to barso.n me.n ham ne kii yaaro
Mughal Farooq Parwaz
Sher
tuu KHudaa hai to bajaa mujh ko Daraataa kyuu.n hai
jaa mubaarak ho tujhe tere karam kaa saaya
Farooq Nazki
Sher
uTThe jo tere dar se to duniyaa simaT ga.ii
baiThe the tere dar pe zamaana liye hu.e
Umar Farooq
Sher
Gam-e-ishq hii ne kaaTii Gam-e-ishq kii musiibat
isii mauj ne Duboyaa isii mauj ne ubhaaraa
Farooq Banspari
Sher
apnii laGzish ko to ilzaam na degaa ko.ii
log thak-haar ke mujrim hame.n Thahraa.e.nge
Farooq Shafaq
Sher
baras rahii hai udaasii tamaam aa.ngan me.n
vo rat-jago.n kii havelii ba.De azaab me.n hai