SEARCH RESULTS
Showing search results for "फाँद-फाँद"
Sher MATCHES FOR "फाँद-फाँद"
Sher
aa.e hai.n log raat kii dahliiz phaa.nd kar
un ke liye naved-e-sahar honii chaahiye
Ata ul Haq Qasmi
Sher
aariz pe rahii zulf-e-siyah-faam hamesha
paamaal rahaa kufr kaa islaam hamesha
Kishan Kumaar Waqaar
Sher
fasaad, qatl, ta.assub, fareb, makkaarii
safed-posho.n kii baate.n hai.n kyaa bataa.uu.n mai.n
Mujahid Faraaz
Sher
kis zulf-e-siyah-faam ke aa.ii hai muqaabil
hai sham.a ke chehre pe asar chaa.nd-kuhan kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
dil ko ai ishq suu-e-zulf-e-siyah-faam na bhej
rahzano.n me.n tuu musaafir ko sar-e-shaam na bhej
Jurat Qalandar Bakhsh
Sher
fasaad rokne kam-zarf log pahu.nche hai.n
gharo.n me.n rah ga.e raushan zamiir jitne the
Akmal Imaam
Sher
uruuj par hai aziizo fasaad kaa suuraj
jabhii to suukhtii jaatii hai.n pyaar kii jhiile.n
Nami Nadri
Sher
ham aise saare subuuto.n ko phaa.D Daale.nge
hamaare biich me.n jo bhii daraa.D Daale.nge
Faisal Qadri Gunnauri
Sher
mai-e-kausar kaa asar chashm-e-siyah-faam me.n hai
saaqii-e-mast ajab kaif tire jaam me.n hai
Dil Shahjahanpuri
Sher
phaa.D kar KHat us ne qaasid se kahaa
ko.ii paiGaam-e-zabaanii aur hai
Sardar Ganda Singh Mashriqi
Sher
ik sitam Dhaane me.n fard ek sitam sahne me.n
al-Garaz hai na tumhaaraa na miraa dil naaqis
Nooh Narvi
Sher
ye roz roz kaa jhag.Daa fasaad Thiik nahii.n
mai.n chaahtaa huu.n ki ab ain shiin qaaf karuu.n