SEARCH RESULTS
Showing search results for "फूला-फला"
Sher MATCHES FOR "फूला-फला"
Sher
phailaa fazaa me.n naGma-e-zanjiir-e-marhabaa
zindaa.n me.n ghuT ke rah na sakii zindagii kii baat
Payam Fatehpuri
Sher
farq kyaa maqtal me.n aur gulzaar me.n
Dhaal me.n hai.n phuul phal talvaar me.n
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
Heera Lal Falak Dehlvi
Sher
ja.ngal me.n Tesuu phuulaa aur baaG me.n shaguufa
fasl-e-bahaar aa.ii mausam gayaa KHizaa.n kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
mai.n itnii raushnii phailaa chukaa huu.n
ki bujh bhii jaa.uu.n to ab Gam nahii.n hai
Mahshar Badayuni
Sher
phailaa hu.aa hai jism me.n tanhaa.iyo.n kaa zahr
rag rag me.n jaise saarii udaasii utar ga.ii
Shahid Mahuli
Sher
ik buu.nd zahr ke liye phailaa rahe ho haath
dekho kabhii KHud apne badan ko nicho.D ke
Shahryar
Sher
ek bosa ho.nT par phailaa tabassum ban gayaa
jo haraarat thii mirii us ke badan me.n aa ga.ii
Kavish Badri
Sher
duur tak phailaa hu.aa paanii hii paanii har taraf
ab ke baadal ne bahut kii mehrbaanii har taraf
Shabab Lalit
Sher
Gazlo.n ne vahii.n zulfo.n ke phailaa diye saa.e
jin raaho.n pe dekhaa hai bahut dhuup ka.Dii hai
Bashir Badr
Sher
Sada Ambalvi
Sher
Zubair Farooq
Sher
kufr phailaa hai yahaa.n tak ki zamaane me.n ko.ii
naam letaa nahii.n bhuule se musalmaanii kaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
phailaa hu.aa hai vaqt kii dahliiz par dhu.aa.n
us aag kaa jo aaj bhii raushan nahii.n hu.ii
Husain Majrooh
Sher
KHamoshii jhaa.nktii hai khi.Dkiyo.n se
galii me.n shor saa phailaa hu.aa hai