SEARCH RESULTS
Showing search results for "बंजर-वंजर"
Sher MATCHES FOR "बंजर-वंजर"
Sher
jo akasr baar-var hone se pahle TuuT jaate the
vahii KHasta shikasta ahd-o-paimaa.n yaad aate hai.n
Abdul Hamid Adam
Sher
ko.ii to dosh se baar-e-safar utaaregaa
hazaaro.n raahzan ummiid-vaar raah me.n hai
Haidar Ali Aatish
Sher
sikhaa diyaa hai zamaane ne be-basar rahnaa
KHabar kii aa.nch me.n jal kar bhii be-KHabar rahnaa
Wazir Agha
Sher
kuchh ehtiraam bhii kar Gam kii vaz.a-daarii kaa
giraa.n hai arz-e-tamannaa to baar baar na kar
Syed Aabid Ali Aabid
Sher
ham-nafasaan-e-vaz.a-daar mustami.aan-e-burd-baar
ham to tumhaare vaaste ek vabaal ho ga.e
Jaun Eliya
Sher
nahii.n jii chaahtaa milne ko subuk-vaz.o.n se
kyaa kare.n ham jo mizaaj apnaa giraanii maa.nge
Imdad Ali Bahr
Sher
Munshi Debi Parshad Sahar Badayuni
Sher
us kaa honaa bhii bharii bazm me.n hai vaj.h-e-sukuu.n
kuchh na bole bhii to vo meraa taraf-daar lage
Shaz Tamkanat
Sher
roz o shab furqat-e-jaanaa.n me.n basar kii ham ne
tujh se kuchh kaam na ai gardish-e-dauraa.n niklaa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
saaqii ke aane kii ye tamannaa hai bazm me.n
dast-e-subuu buland hai dast-e-du.aa ke saath