SEARCH RESULTS
Showing search results for "बंदगी"
Sher MATCHES FOR "बंदगी"
Sher
dil hai qadmo.n par kisii ke sar jhukaa ho yaa na ho
bandagii to apnii fitrat hai KHudaa ho yaa na ho
Jigar Moradabadi
Sher
yahii hai zindagii apnii yahii hai bandagii apnii
ki un kaa naam aayaa aur gardan jhuk ga.ii apnii
Mahirul Qadri
Sher
javaaz ko.ii agar merii bandagii kaa nahii.n
mai.n puuchhtaa huu.n tujhe kyaa milaa KHudaa ho kar
Shahzad Ahmad
Sher
qubuul ho ki na ho sajda o salaam apnaa
tumhaare bande hai.n ham bandagii hai kaam apnaa
Mubarak Azimabadi
Sher
sidq-o-safaa-e-qalb se mahruum hai hayaat
karte hai.n bandagii bhii jahannam ke Dar se ham
Shakeel Badayuni
Sher
bandagii kaa mirii andaaz judaa hotaa hai
meraa ka.aba mere sajdo.n me.n chhupaa hotaa hai
Unknown
Sher
shaaho.n kii bandagii me.n sar bhii nahii.n jhukaayaa
tere liye saraapaa aadaab ho ga.e ham
Tabish Dehlvi
Sher
bandagii me.n bhii vo aazaada o KHud-bii.n hai.n ki ham
ulTe phir aa.e dar-e-kaaba agar vaa na hu.aa
Mirza Ghalib
Sher
saahab ne is Gulaam ko aazaad kar diyaa
lo bandagii ki chhuuT ga.e bandagii se ham
Momin Khan Momin
Sher
KHuluus ho to kahii.n bandagii kii qaid nahii.n
sanam-kade me.n tavaaf-e-haram bhii mumkin hai