SEARCH RESULTS
Showing search results for "बंदा-नवाज़"
Sher MATCHES FOR "बंदा-नवाज़"
Sher
tumhaare vaaste sab kuchh hai mere banda-navaaz
magar ye shart ki pahle pasand aa.o mujhe
Mahboob Khizan
Sher
zulm kab tak kiijiyegaa is dil-e-naashaad par
ab to is bande pe Tuk kiije karam banda-navaaz
Meer Hasan
Sher
nashshe me.n jii chaahtaa hai bosa-baazii kiijiye
itnii ruKHsat diijiye banda-navaazii kiijiye
Meer Mohammadi Bedar
Sher
tariiq-e-dilbarii kaafii nahii.n har-dil-aziizii ko
saliiqa banda-parvar chaahiye banda-navaazii kaa
Natiq Gulavthi
Sher
go ki tujh lutf ke qaabil dil-e-ranjuur nahii.n
par tirii banda-navaazii se ye kuchh duur nahii.n
Santokh Rai Betab
Sher
nazar-navaaz nazaara badal na jaa.e kahii.n
zaraa sii baat hai mu.nh se nikal na jaa.e kahii.n
Dushyant Kumar
Sher
ye ehtimaam-e-charaaGaa.n bajaa sahii lekin
sahar to ho nahii.n saktii diye jalaane se
Bashar Nawaz
Sher
badan-saraa.e me.n Thahraa hu.aa musaafir huu.n
chukaa rahaa huu.n kiraaya mai.n chand saa.nso.n kaa
Sarfraz Nawaz
Sher
naaz kyaa is pe jo badlaa hai zamaane ne tumhe.n
mard hai.n vo jo zamaane ko badal dete hai.n
Akbar Allahabadi
Sher
aa.iina chupke se manzar vo churaa letaa hai
tuu sajaataa hai badan jab kabhii uryaanii se
Sarfraz Nawaz
Sher
tumhaare sach kii hifaazat me.n yuu.n hu.aa akasr
ki apne-aap ko jhuuTaa banaa liyaa mai.n ne
Sarfraz Nawaz
Sher
Bashar Nawaz
Sher
Vipul Kumar
Sher
un kii nigaah-e-naaz kii gardish ke saath saath
mahsuus ye hu.aa ki zamaana badal gayaa
Shaukat Pardesi
Sher
aa.o aaj ham dono.n apnaa apnaa ghar chun le.n
tum navaah-e-dil le lo KHitta-e-badan meraa