SEARCH RESULTS
Showing search results for "बग़ल"
Sher MATCHES FOR "बग़ल"
Sher
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe haasil ho
ik chaa.nd baGal me.n ho ik chaa.nd muqaabil ho
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
shab-e-vasl thii chaandnii kaa samaa.n thaa
baGal me.n sanam thaa KHudaa mehrbaa.n thaa
Haidar Ali Aatish
Sher
mere baGal me.n rah ke mujhii ko kiyaa zaliil
nafrat sii ho ga.ii dil-e-KHaana-KHaraab se
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
dil le ke un kii bazm me.n jaayaa na jaa.egaa
ye mudda.ii baGal me.n chhupaayaa na jaa.egaa
Dagh Dehlvi
Sher
Mohammad Rafi Sauda
Sher
ai falak kuchh to asar husn-e-amal me.n hotaa
shiisha ik roz to vaa.iz ke baGal me.n hotaa
Haidar Ali Aatish
Sher
apnii Garaz ko aa.e the vo raat 'mus.hafii'
le kar mirii baGal se miraa dil ravaa.n hu.e
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
raato.n ko but baGal me.n hai.n qur.aa.n tamaam din
hinduu tamaam shab huu.n musalmaa.n tamaam din
Hatim Ali Mehr
Sher
raat din yaar baGal me.n ho to ghar behtar hai
varna is ghar ke to rahne se safar behtar hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
Rind Lakhnavi
Sher
jo la.Dkha.Daa.e qadam mai-kade me.n masto.n ke
baGal me.n hazrat-e-naaseh the ba.Dh ke thaam liyaa
Mubarak Azimabadi
Sher
Anwari Jahan Begum Hijab
Sher
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
dekho to har baGal me.n hai daftar dabaa hu.aa
aKHbaar me.n jo chhaapnaa chaaho KHabar nahii.n
Muzaffar Ali Syed
Sher
kis tarah 'razaa' tuu na ho dhavaane zamaana
jab dil saa tirii baiThaa ho badnaam baGal me.n
Raza Azimabadi
Sher
mo.atakif ho shaiKH apne dil me.n masjid se nikal
saahib-e-dil kii baGal me.n dil ibaadat-KHaana hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
naaseh baGal me.n aa kar dushman hu.aa hamaaraa
jaa.egaa kab ilaahii majlis se KHaar dil kaa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
aish-e-jahaa.n baGal me.n tumhaarii sab aa rahaa
dil hii diyaa jo tum ko to phir aur kyaa rahaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jaa bhi.Daataa hai hamesha mujhe KHuu.n-KHvaaro.n se
dil baGal-biich miraa dushman-e-jaa.n hai goyaa