SEARCH RESULTS
Showing search results for "बद-ज़ात"
Sher MATCHES FOR "बद-ज़ात"
Sher
qaasid ko us ne jaate hii ruKHsat kiyaa thaa lek
bad-zaat maa.ndgii ke bahaane se rah gayaa
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
jab nigaaho.n ke ishaaraat badal jaate hai.n
KHud-ba-KHud pyaar ke jazbaat badal jaate hai.n
Shevan Bijnauri
Sher
bas jaan gayaa mai.n tirii pahchaan yahii hai
tuu dil me.n to aataa hai samajh me.n nahii.n aataa
Akbar Allahabadi
Sher
aish ke yaar to aGyaar bhii ban jaate hai.n
dost vo hai.n jo bure vaqt me.n kaam aate hai.n
Unknown
Sher
ba.az auqaat tiraa naam badal jaataa hai
ba.az auqaat tire naqsh bhii kho jaate hai.n
KHalid Malik Sahil
Sher
na jaane kab nigah-e-baaGbaa.n badal jaa.e
har aan phuulo.n ko dha.Dkaa lagaa saa rahtaa hai
Mumtaz Mirza
Sher
ri.nd jo zarf uThaa le.n vahii saaGar ban jaa.e
jis jagah baiTh ke pii le.n vahii mai-KHaana bane
Asghar Gondvi
Sher
bach jaa.e javaanii me.n jo duniyaa kii havaa se
hotaa hai farishta ko.ii insaa.n nahii.n hotaa
Riyaz Khairabadi
Sher
pal bhar me.n kaise log badal jaate hai.n yahaa.n
dekho ki ye mufiid hai biinaa.ii ke liye
Shahryar
Sher
qibla ban jaa.e jahaa.n tuu ko.ii patthar rakh de
dast-e-islaam vahii.n diin kaa mimbar rakh de
Muztar Khairabadi
Sher
vo ik suKHan hii hamaarii sanad na ban jaa.e
vo ik suKHan jo tumhaarii sanad nahii.n rakhtaa
Ata Turab
Sher
Arzoo Lakhnavi
Sher
sub.h hotii hai to daftar me.n badal jaataa hai
ye makaa.n raat ko phir ghar me.n badal jaataa hai
Faryad Aazar
Sher
ulajhte rahte ho be-jaan manzar me.n kisii se
hazaaro.n saal kii pahchaan pal-bhar me.n kisii se