SEARCH RESULTS
Showing search results for "बयान"
Sher MATCHES FOR "बयान"
Sher
qubuul kaise karuu.n un kaa faisla ki ye log
mire KHilaaf hii meraa bayaan maa.ngte hai.n
Manzoor Hashmi
Sher
ye masaa.il-e-tasavvuf ye tiraa bayaan 'Gaalib'
tujhe ham valii samajhte jo na baada-KHvaar hotaa
Mirza Ghalib
Sher
unho.n ne apne mutaabiq sazaa sunaa dii hai
hame.n sazaa ke mutaabiq bayaan denaa hai
Charagh Sharma
Sher
vo aadmii nahii.n hai mukammal bayaan hai
maathe pe us ke choT kaa gahraa nishaan hai
Dushyant Kumar
Sher
aur bhii kitne tariiqe hai.n bayaan-e-Gam ke
muskuraatii hu.ii aa.nkho.n ko to pur-nam na karo
Abdul Aziz Fitrat
Sher
saarii gavaahiyaa.n to mire haq me.n aa ga.ii.n
lekin miraa bayaan hii mere KHilaaf thaa