SEARCH RESULTS
Showing search results for "बहार"
Sher MATCHES FOR "बहार"
Sher
gulo.n me.n rang bhare baad-e-nau-bahaar chale
chale bhii aa.o ki gulshan kaa kaarobaar chale
Faiz Ahmad Faiz
Sher
dekh zindaa.n se pare ra.ng-e-chaman josh-e-bahaar
raqs karnaa hai to phir paa.nv kii zanjiir na dekh
Majrooh Sultanpuri
Sher
aa.iine me.n vo dekh rahe the bahaar-e-husn
aayaa miraa KHayaal to sharmaa ke rah ga.e
Hasrat Mohani
Sher
bharii bahaar me.n ik shaaKH par khilaa hai gulaab
ki jaise tuu ne hathelii pe gaal rakkhaa hai
Ahmad Faraz
Sher
na gul khile hai.n na un se mile na mai pii hai
ajiib rang me.n ab ke bahaar guzrii hai
Faiz Ahmad Faiz
Sher
raat yuu.n dil me.n tirii kho.ii hu.ii yaad aa.ii
jaise viiraane me.n chupke se bahaar aa jaa.e
Faiz Ahmad Faiz
Sher
bulbul ko baaGbaa.n se na sayyaad se gila
qismat me.n qaid likkhii thii fasl-e-bahaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
fasl-e-bahaar aa.ii piyo suufiyo sharaab
bas ho chukii namaaz musallaa uThaa.iye
Haidar Ali Aatish
Sher
Akhtar Shirani
Sher
Nushur Wahidi
Sher
Shakeel Badayuni
Sher
afsurdagii bhii husn hai taabindagii bhii husn
ham ko KHizaa.n ne tum ko sa.nvaaraa bahaar ne
Ijtiba Rizvi
Sher
tamaam umr tire intizaar me.n hamdam
KHizaa.n-rasiida rahaa huu.n bahaar kar mujh ko