SEARCH RESULTS
Showing search results for "बाज़ार-ए-अक़्ल"
Sher MATCHES FOR "बाज़ार-ए-अक़्ल"
Sher
unhii.n ke faiz se baazaar-e-aql raushan hai
jo gaah gaah junuu.n iKHtiyaar karte rahe
Faiz Ahmad Faiz
Sher
junuu.n hotaa hai chhaa jaatii hai hairat
kamaal-e-aql ik diivaana-pan hai
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
vahshat-e-dil ke KHariidaar bhii naapaid hu.e
kaun ab ishq ke baazaar me.n kholegaa dukaa.n
Ibn e Insha
Sher
jins-e-vafaa kaa dahr me.n baazaar gir gayaa
jab ishq faiz-e-husn kaa haamil nahii.n rahaa
S A Mehdi
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
Hafeez Jalandhari
Sher
achchhaa hai dil ke saath rahe paasbaan-e-aql
lekin kabhii kabhii ise tanhaa bhii chho.D de
Allama Iqbal
Sher
sailaab-e-ishq Garq-kun-e-aql-o-hosh thaa
ik bahar thaa ki shaam-o-sahar garam-josh thaa
Mael Lakhnavi
Sher
taariiKH-e-kaa.enaat-e-ibaadat junuu.n se hai
unvaan-e-aql-o-hosh hai diivaangii kii baat
Payam Fatehpuri
Sher
qulqul-e-miinaa sadaa naaquus kii shor-e-azaa.n
ThanDe ThanDe diidanii hai garmii-e-baazaar-e-sub.h
Riyaz Khairabadi
Sher
Wamiq Jaunpuri
Sher
ye ishq ne dekhaa hai ye aql se pinhaa.n hai
qatre me.n samundar hai zarre me.n bayaabaa.n hai
Asghar Gondvi
Sher
taa.ir-e-aql ko ma.azuur kahaa zaahid ne
par-e-parvaaz me.n tasbiih kaa Doraa baa.ndhaa
Wazir Ali Saba Lakhnavi
Sher
pahle nisaab-e-aql hu.aa ham se intisaab
phir yuu.n hu.aa ki qatl bhii ham kar diye ga.e
Alamtaab Tishna
Sher
tere baazaar-e-dahr me.n garduu.n
ham bhii aa.e hai.n ik qabaa ke liye
Mirza Maseeta Beg Muntahi
Sher
phir is ke baa'd ye baazaar-e-dil nahii.n lagnaa
KHariid liijiye saahib Gulaam aaKHirii hai
Abbas Tabish
Sher
baazaar-e-aarzuu me.n kaTii jaa rahii hai umr
ham ko KHariid le vo KHariidaar chaahiye