SEARCH RESULTS
Showing search results for "बाद-मस्ती-ए-हर"
Sher MATCHES FOR "बाद-मस्ती-ए-हर"
Sher
tez rakhiyo sar-e-har-KHaar ko ai dasht-e-junuu.n
shaayad aa jaa.e ko.ii aabla-paa mere ba.ad
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
ahl-e-haram se kah do ki big.Dii nahii.n hai baat
sab ri.nd jaante hai.n abhii paarsaa mujhe
Riyaz Khairabadi
Sher
baat ye hai ki sabhii bhaa.ii mire dushman hai.n
mas.ala ye hai ki mai.n yuusuf-e-saanii bhii nahii.n
Khalid Karrar
Sher
aa.iine se unhe.n kuchh uns nahii.n baat ye hai
chaahte hai.n ko.ii dekhaa kare suurat merii
Jaleel Manikpuri
Sher
Kaleem Aajiz
Sher
haq baat to ye hai ki usii but ke vaaste
zaahid ko.ii hu.aa to ko.ii barhaman hu.aa
Nizam Rampuri
Sher
jis ke chehre pe mai.n martii huu.n sitam to ye hai
us kii tasviir hii album me.n mire saath nahii.n
Jyoti Azad Khatri
Sher
baat to ye hai ki vo ghar se nikaltaa bhii nahii.n
aur mujh ko sar-e-baazaar liye phirtaa hai
Sarfaraz Khalid
Sher
mudda.aa gar hai to ye hai aashiq-e-dil-giir kaa
ashk me.n honaa asar kaa aah me.n taasiir kaa
Bal Mukund Besabr
Sher
maze kii baat to ye hai ki be-mazaa hai vo dil
tumhaarii be-mazagii kaa jise maza naa lage
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
Sher
pas-e-visaal bhii hai masti-e-visaal vahii
bahaar KHatm hu.ii mai.n na hoshiyaar hu.aa
Jaleel Manikpuri
Sher
ai parii-zaad jo tuu raqs kare mastii me.n
daana-e-taak har ik paa.nv me.n ghu.nghruu ho jaa.e
Asad Ali Khan Qalaq
Sher
baad-e-tark-e-aarzuu baiThaa huu.n kaisaa mutma.in
ho ga.ii aasaa.n har ik mushkil ba-aasaanii mirii
Tilok Chand Mahroom
Sher
ghar-ba-ghar hai vo mast-e-ishva-o-naaz
dar-ba-dar ham KHaraab hote hai.n
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
baad-e-bahaar me.n sab aatish junuun kii hai
har saal aavatii hai garmii me.n fasl-e-holii
Wali Uzlat
Sher
Munawar Khan Ghafil
Sher
qatl-e-husain asl me.n marg-e-yaziid hai
islaam zinda hotaa hai har karbalaa ke ba.ad
Maulana Mohammad Ali Jauhar
Sher
ruuh hai mahv-e-tamannaa husn hai mast-e-tarab
ik niyaaz-o-naaz kaa barpaa hai mahshar saamne