SEARCH RESULTS
Showing search results for "बार-ए-अमानत"
Sher MATCHES FOR "बार-ए-अमानत"
Sher
Khursheed Akbar
Sher
rakh liyaa baar-e-amaanat sar pe be-KHaufii ke saath
aur kyaa kartaa miraa diivaana dil tere liye
Ramz Afaqi
Sher
daastaan-e-shauq kitnii baar dohraa.ii ga.ii
sun.ne vaalo.n me.n tavajjoh kii kamii paa.ii ga.ii
Aale Ahmad Suroor
Sher
adh-bune KHvaabo.n kaa ambaar pa.Daa hai dil me.n
aa.nkh vaalo.n ke liye hai ye amaanat merii
Anjum Saleemi
Sher
itnaa bhii baar-e-KHaatir-e-gulshan na ho ko.ii
TuuTii vo shaaKH jis pe miraa aashiyaana thaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
baar-e-Gam-e-jahaa.n bhii hai teraa KHayaal bhii
hai.n kitnii vus.ate.n dil-e-aashufta-haal me.n
Zohra Naseem
Sher
jin baato.n ko sun.naa tak baar-e-KHaatir thaa
aaj unhii.n baato.n se dil bahlaa.e hu.e huu.n
Zehra Nigaah
Sher
ham se ye baar-e-lutf uThaayaa na jaa.egaa
ehsaa.n ye kiijiye ki ye ehsaa.n na kiijiye
Hafeez Jalandhari
Sher
ko.ii to dosh se baar-e-safar utaaregaa
hazaaro.n raahzan ummiid-vaar raah me.n hai
Haidar Ali Aatish
Sher
kab baar-e-tabassum mire ho.nTo.n se uThegaa
ye bojh bhii lagtaa hai uThaa.egaa ko.ii aur
Aanis Moin
Sher
ishq KHud sikhaataa hai saarii hikmate.n 'aalii'
naqd-e-dil kise denaa baar-e-sar kahaa.n rakhnaa
Jaleel 'Aali'
Sher
kahaa.n har ek se baar-e-nashaat uThtaa hai
balaa.e.n ye bhii mohabbat ke sar ga.ii ho.ngii
Firaq Gorakhpuri
Sher
aaj baar-e-gosh hai merii sadaa us ko magar
mere shero.n ko zamaana der tak dohraa.egaa
Rana Gannauri
Sher
chaahiye aadmii ho baar-e-ta.alluq se barii
kyuu.nki begaano.n ke yaa.n bojh ko KHar Dhote hai.n
Qayem Chaandpuri
Sher
miizaa.n kha.Dii hu.ii mire aage na roz-e-hashr
dabnaa pa.Daa use mire baar-e-gunaah se
Jaleel Manikpuri
Sher
KHud apne aap se larzaa.n rahii ulajhtii rahii
uThaa na baar-e-garaa.n raat kii javaanii se
Jalib Nomani
Sher
Ehtisham ul Haq Siddiqui
Sher
zabaa.n pe baar-e-KHudaayaa ye kis kaa naam aayaa
ki mere nutq ne bose mirii zabaa.n ke liye
Mirza Ghalib
Sher
baar-e-KHaatir hii agar hai to inaayat kiije
aap ko husn mubaarak ho miraa dil mujh ko