SEARCH RESULTS
Showing search results for "बार-ए-दुनिया"
Sher MATCHES FOR "बार-ए-दुनिया"
Sher
ahl-e-duniyaa baavle hai.n baavlo.n kii tuu na sun
nii.nd u.Daataa ho jo afsaana us afsaana se bhaag
Parveen Umm-e-Mushtaq
Sher
daastaan-e-shauq kitnii baar dohraa.ii ga.ii
sun.ne vaalo.n me.n tavajjoh kii kamii paa.ii ga.ii
Aale Ahmad Suroor
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
ne.mat-e-duniyaa kii jin ko chaah hai naadaan hai.n
daaya-e-ayyaam ke pistaa.n habaab-e-shiir hai
Imdad Ali Bahr
Sher
itnaa bhii baar-e-KHaatir-e-gulshan na ho ko.ii
TuuTii vo shaaKH jis pe miraa aashiyaana thaa
Mirza Mohammad Hadi Aziz Lakhnavi
Sher
baar-e-Gam-e-jahaa.n bhii hai teraa KHayaal bhii
hai.n kitnii vus.ate.n dil-e-aashufta-haal me.n
Zohra Naseem
Sher
eid kaa din hai gale aaj to mil le zaalim
rasm-e-duniyaa bhii hai mauqa.a bhii hai dastuur bhii hai
Qamar Badayuni
Sher
pahle se maraasim na sahii phir bhii kabhii to
rasm-o-rah-e-duniyaa hii nibhaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
kamaal-e-taalib-duu.n-e-duu.n hai piir-e-haram
KHudaa ke ghar me.n hai lekin KHudaa se baahar hai
Imdad Ali Bahr
Sher
Ahmad Faraz
Sher
jin baato.n ko sun.naa tak baar-e-KHaatir thaa
aaj unhii.n baato.n se dil bahlaa.e hu.e huu.n
Zehra Nigaah
Sher
ham se ye baar-e-lutf uThaayaa na jaa.egaa
ehsaa.n ye kiijiye ki ye ehsaa.n na kiijiye
Hafeez Jalandhari
Sher
tum to sun paa.e na aavaaz-e-shikast-e-dil bhii
kuchh hamii.n the ki hariif-e-Gam-e-duniyaa bhii hu.e
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
zindagii ik KHvaab hai ye KHvaab kii taabiir hai
halqa-e-gesu-e-duniyaa paa.nv kii zanjiir hai
Obaidullah Siddiqui
Sher
havaa-e-kuucha-e-duniyaa mai.n jaantaa huu.n tujhe
tuu jab bhii aatii hai biimaar karne aatii hai
Kashif Majeed
Sher
ko.ii to dosh se baar-e-safar utaaregaa
hazaaro.n raahzan ummiid-vaar raah me.n hai