SEARCH RESULTS
Showing search results for "बावजूद-ए-कि"
Sher MATCHES FOR "बावजूद-ए-कि"
Sher
vo bulaate to hai.n mujh ko magar ai jazba-e-dil
shauq itnaa bhii na ba.Dh jaa.e ki jaa.e na bane
A. D. Azhar
Sher
log kahte hai.n ki fann-e-shaa.irii manhuus hai
sher kahte kahte mai.n deputy collector ho gayaa
Kalb-e-husain Nadir
Sher
itnaa hii chaahtaa huu.n ki mai.n aur andaliib
aapas me.n dard-e-dil kahe.n Tuk baiTh kar kahii.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
sunaa kis ne haal meraa ki juu.n abr vo na royaa
rakhe hai magar ye qissa asar-e-du.aa-e-baaraa.n
Bandar ibn-e-Raqim
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
har shaKHs mo'tarif ki muhibb-e-vatan huu.n mai.n
phir adliya ne kyuu.n sar-e-maqtal kiyaa mujhe
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
Sher
S A Mehdi
Sher
samajh to ye ki na samjhe KHud apnaa ra.ng-e-junuu.n
mizaaj ye ki zamaana mizaaj-daa.n hotaa
Aal-e-Raza Raza
Sher
Josh Malsiani
Sher
ek hii haadsa to hai aur vo ye ki aaj tak
baat nahii.n kahii ga.ii baat nahii.n sunii ga.ii
Jaun Eliya
Sher
na paak hogaa kabhii husn o ishq kaa jhag.Daa
vo qissa hai ye ki jis kaa ko.ii gavaah nahii.n
Haidar Ali Aatish
Sher
tirii talaash hai yaa tujh se ijtinaab hai ye
ki roz ek na.e raaste pe chalte hai.n
Hafeez Hoshiarpuri
Sher
sach to ye ki abhii dil ko sukuu.n hai lekin
apne aavaara KHayaalaat se jii Dartaa hai
Hasan Naim
Sher
mat puuchh ye ki raat kaTii kyuu.nke tujh baGair
is guftuguu se faa.eda pyaare guzar ga.ii