SEARCH RESULTS
Showing search results for "बिखर"
Sher MATCHES FOR "बिखर"
Sher
vo to KHush-buu hai havaa.o.n me.n bikhar jaa.egaa
mas.ala phuul kaa hai phuul kidhar jaa.egaa
Parveen Shakir
Sher
KHvaab kii tarah bikhar jaane ko jii chaahtaa hai
aisii tanhaa.ii ki mar jaane ko jii chaahtaa hai
Iftikhar Arif
Sher
mai.n ne chaahaa hai tujhe aam se insaa.n kii tarah
tuu miraa KHvaab nahii.n hai jo bikhar jaa.egaa
Waseem Barelvi
Sher
ek lamhe me.n bikhar jaataa hai taanaa-baanaa
aur phir umr guzar jaatii hai yakjaa.ii me.n
Ahmad Mushtaq
Sher
hazaar tarah ke sadme uThaane vaale log
na jaane kyaa hu.aa ik aan me.n bikhar se ga.e
Obaidullah Aleem
Sher
aks-e-KHushbuu huu.n bikharne se na roke ko.ii
aur bikhar jaa.uu.n to mujh ko na sameTe ko.ii
Parveen Shakir
Sher
Bashir Badr
Sher
is judaa.ii me.n tum andar se bikhar jaa.oge
kisii ma.azuur ko dekhoge to yaad aa.uu.ngaa
Wasi Shah
Sher
mai.n jis kii aa.nkh kaa aa.nsuu thaa us ne qadr na kii
bikhar gayaa huu.n to ab ret se uThaa.e mujhe
Bashir Badr
Sher
Takraa gayaa vo mujh se kitaabe.n liye hu.e
phir meraa dil aur us kii kitaabe.n bikhar ga.ii.n
Unknown
Sher
mujhe sambhaalne me.n itnii ehtiyaat na kar
bikhar na jaa.uu.n kahii.n mai.n tirii hifaazat me.n
Saleem Kausar
Sher
ek rishta bhii mohabbat kaa agar TuuT gayaa
dekhte dekhte shiiraaza bikhar jaataa hai
Nushur Wahidi
Sher
Zafar Iqbal
Sher
Raaz Allahabadi
Sher
be-saaKHta bikhar ga.ii jalvo.n kii kaa.enaat
aa.iina TuuT kar tirii a.ng.Daa.ii ban gayaa