SEARCH RESULTS
Showing search results for "बिस्तर"
Sher MATCHES FOR "बिस्तर"
Sher
ye phuul mujhe ko.ii viraasat me.n mile hai.n
tum ne miraa kaa.nTo.n bharaa bistar nahii.n dekhaa
Bashir Badr
Sher
nii.nd to dard ke bistar pe bhii aa saktii hai
un kii aaGosh me.n sar ho ye zaruurii to nahii.n
Khamosh Ghazipuri
Sher
ik raat chaa.ndnii mire bistar pe aa.ii thii
mai.n ne taraash kar tiraa chehra banaa diyaa
Ahmad Mushtaq
Sher
jaatii hai dhuup ujle paro.n ko sameT ke
zaKHmo.n ko ab ginuu.ngaa mai.n bistar pe leT ke
Shakeb Jalali
Sher
mai.n bistar-e-KHayaal pe leTaa huu.n us ke paas
sub.h-e-azal se ko.ii taqaazaa kiye baGair
Jaun Eliya
Sher
Gam hai to ko.ii lutf nahii.n bistar-e-gul par
jii KHush hai to kaa.nTo.n pe bhii aaraam bahut hai
Kaleem Aajiz
Sher
duniyaa bahut KHaraab hai jaa-e-guzar nahii.n
bistar uThaa.o rahne ke qaabil ye ghar nahii.n
Lala Madhav Ram Jauhar
Sher
ro.e.nge dekh kar sab bistar kii har shikan ko
vo haal likh chalaa huu.n karvaT badal badal kar
Qamar Jalalvi
Sher
kyaa usii kaa naam hai ra.anaa.ii-e-bazm-e-hayaat
ta.ng kamra sard bistar aur tanhaa aadmii
Chandrabhan Khayal
Sher
jin ko nii.ndo.n kii na ho chaadar nasiib
un se KHvaabo.n kaa hasii.n bistar na maa.ng
Tahir Faraz
Sher
kal raat jagaatii rahii ik KHvaab kii duurii
aur nii.nd bichhaatii rahii bistar mire aage
Kashif Husain Ghair
Sher
Sabir Zafar
Sher
Azhar Iqbal
Sher
shaa.irii kaar-e-junuu.n hai aap ke bas kii nahii.n
vaqt par bistar se uThiye vaqt par so jaa.iye
Javed Saba
Sher
Bharat Bhushan Pant
Sher
utraa thaa jis pe baab-e-hayaa kaa varaq varaq
bistar ke ek ek shikan kii shariik thii