SEARCH RESULTS
Showing search results for "बीमार"
Sher MATCHES FOR "बीमार"
Sher
un ke dekhe se jo aa jaatii hai mu.nh par raunaq
vo samajhte hai.n ki biimaar kaa haal achchhaa hai
Mirza Ghalib
Sher
biimaar ko maraz kii davaa denii chaahiye
mai.n piinaa chaahtaa huu.n pilaa denii chaahiye
Rahat Indori
Sher
be-dam hu.e biimaar davaa kyuu.n nahii.n dete
tum achchhe masiihaa ho shifaa kyuu.n nahii.n dete
Faiz Ahmad Faiz
Sher
jin jin ko thaa ye ishq kaa aazaar mar ga.e
aksar hamaare saath ke biimaar mar ga.e
Meer Taqi Meer
Sher
is re.ngtii hayaat kaa kab tak uThaa.e.n baar
biimaar ab ulajhne lage hai.n tabiib se
Sahir Ludhianvi
Sher
jo bhii aataa hai bataataa hai nayaa ko.ii ilaaj
baT na jaa.e tiraa biimaar masiihaa.o.n me.n
Qateel Shifai
Sher
marg hii sehat hai us kii marg hii us kaa ilaaj
ishq kaa biimaar kyaa jaane davaa kyaa chiiz hai
Bahadur Shah Zafar
Sher
aisaa tire firaaq me.n biimaar ho gayaa
mai.n chaaraagar kii jaan ko aazaar ho gayaa
Tasveer Dehlvi
Sher
miir kyaa saade hai.n biimaar hu.e jis ke sabab
usii attaar ke la.Dke se davaa lete hai.n
Meer Taqi Meer
Sher
itnaa mai.n intizaar kiyaa us kii raah me.n
jo rafta rafta dil miraa biimaar ho gayaa
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
ishq hai to ishq kaa iz.haar honaa chaahiye
aap ko chehre se bhii biimaar honaa chaahiye
Munawwar Rana
Sher
puurii tarah se ab ke tayyaar ho ke nikle
ham chaaragar se milne biimaar ho ke nikle
Farhat Ehsas
Sher
yuu.n tasallii de rahe hai.n ham dil-e-biimaar ko
jis tarah thaame ko.ii girtii hu.ii diivaar ko
Qateel Shifai
Sher
Munawwar Rana
Sher
aa.nkhe.n thii.n viiraan nazar kaise aataa
dil to thaa biimaar safar kaise kaTtaa