SEARCH RESULTS
Showing search results for "बुलाना"
Sher MATCHES FOR "बुलाना"
Sher
aatii kab hai roz bulaanaa pa.Dtii hai
nii.nd kii KHaatir golii khaanaa pa.Dtii hai
Ashfaq Shaheen
Sher
Haneef Najmi
Sher
but-KHaana to.D Daaliye masjid ko Dhaa.iye
dil ko na to.Diye ye KHudaa kaa maqaam hai
Haidar Ali Aatish
Sher
ab tak dil-e-KHush-fahm ko tujh se hai.n umiide.n
ye aaKHirii sham.e.n bhii bujhaane ke liye aa
Ahmad Faraz
Sher
duniyaa ne terii yaad se begaana kar diyaa
tujh se bhii dil-fareb hai.n Gam rozgaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
terii mahfil se jo niklaa to ye manzar dekhaa
mujhe logo.n ne bulaayaa mujhe chhuu kar dekhaa
Rahat Indori
Sher
dopahar kii dhuup me.n mere bulaane ke liye
vo tiraa koThe pe na.nge paa.nv aanaa yaad hai
Hasrat Mohani
Sher
TuuTe but masjid banii mismaar but-KHaana hu.aa
jab to ik suurat bhii thii ab saaf viiraana hu.aa
Rind Lakhnavi
Sher
bulaa.uu.ngaa na miluu.ngaa na KHat likhuu.ngaa tujhe
tirii KHushii ke liye KHud ko ye sazaa duu.ngaa
Nasir Kazmi
Sher
jaane kaisaa rishta hai rahguzar kaa qadmo.n se
thak ke baiTh jaa.uu.n to raasta bulaataa hai
Shakeel Azmi
Sher
is shahr ke baadal tirii zulfo.n kii tarah hai.n
ye aag lagaate hai.n bujhaane nahii.n aate
Bashir Badr
Sher
aavaaz de rahaa thaa ko.ii mujh ko KHvaab me.n
lekin KHabar nahii.n ki bulaayaa kahaa.n gayaa
Faisal Ajmi
Sher
Zafar Iqbal
Sher
ko.ii ha.ngaama sar-e-bazm uThaayaa jaa.e
kuchh kiyaa jaa.e charaaGo.n ko bujhaayaa jaa.e