SEARCH RESULTS
Showing search results for "बुल-हवस"
Sher MATCHES FOR "बुल-हवस"
Sher
ishq-baazii bul-havas baazii na jaan
ishq hai ye KHaana-e-KHaala nahii.n
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
bul-havas go kare.n tere lab-e-shiirii.n par hujuum
talKH mat ho ki miThaa.ii se magas aatii hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
Sher
ai muqallid bul-havas ham se na kar daavaa-e-ishq
daaG laala kii tarah rakhte hai.n maadar-zaad ham
Ishq Aurangabadi
Sher
jo bul-havas the haT ga.e sahm ga.e simaT ga.e
jo TuuT ga.e vo ishq ko hayaat kahte aa.e hai.n
Narwatam Lal Bahar Lakhnavi
Sher
jo lau.nDaa chho.D kar ranDii ko chaahe
vo ku.i aashiq nahii.n hai bul-havas hai
Abroo Shah Mubarak
Sher
bahut latiif hai.n kaifiyyate.n mohabbat kii
vo bul-havas hai jo kartaa hai jaib o daaman chaak
Mirza Ehsan Beg
Sher
Suhail Ahmed Zaidi
Sher
chhalkii har mauj-e-badan se husn kii dariyaa-dilii
bul-havas kam-zarf do chulluu me.n matvaale hu.e
Sajjad Baqar Rizvi
Sher
ik baar agar qafas kii havaa raas aa ga.ii
ai KHud-fareb phir havas-e-baal-o-par kahaa.n
Jagan Nath Azad
Sher
raushnii bhii nahii.n havaa bhii nahii.n
maa.n kaa nemul-badal KHudaa bhii nahii.n
Anjum Saleemi
Sher
havaa ke dosh pe rakkhe hu.e charaaG hai.n ham
jo bujh ga.e to havaa se shikaayate.n kaisii
Obaidullah Aleem
Sher
vo aur ho.nge jo kaar-e-havas pe zinda hai.n
mai.n us kii dhuup se saaya badal ke aayaa huu.n
Akbar Masoom
Sher
ab na ka.aba kii tamannaa na kisii but kii havas
ab to zinda huu.n kisii markaz-e-insaa.n ke liye
Ahmad Rahi
Sher
aa.o zaraa sii der ko ham ha.ns-bol hii le.n
tum ko nahii.n manzuur hai achchhaa rahne do
Ishrat Afreen
Sher
diyaa bujhaane kii fitrat badal bhii saktii hai
ko.ii charaaG havaa par dabaa.o to Daale
Usman Minai
Sher
band kamre me.n tiraa dard na bujh jaa.e kahii.n
khi.Dkiyaa.n khol ki ye aag havaa chaahtii hai
Faheem Jogapuri
Sher
hamaare ishq se dard-e-jahaa.n ibaarat hai
hamaaraa ishq havas se buland-o-baalaa hai