SEARCH RESULTS
Showing search results for "बेबसी"
Sher MATCHES FOR "बेबसी"
Sher
gar zindagii me.n mil ga.e phir ittifaaq se
puuchhe.nge apnaa haal tirii bebasii se ham
Sahir Ludhianvi
Sher
mai.n boltaa huu.n to ilzaam hai baGaavat kaa
mai.n chup rahuu.n to ba.Dii bebasii sii hotii hai
Bashir Badr
Sher
kah to saktaa huu.n magar majbuur kar saktaa nahii.n
iKHtiyaar apnii jagah hai bebasii apnii jagah
Anwar Shuoor
Sher
vo jo aa.nsu.o.n kii zabaan thii mujhe pii ga.ii
vo jo bebasii ke kalaam the mujhe khaa ga.e
Liyaqat Ali Aasim
Sher
ek musht-e-KHaak aur vo bhii havaa kii zad me.n hai
zindagii kii bebasii kaa isti.aara dekhnaa
Parveen Shakir
Sher
kis bebasii ke saath basar kar rahaa hai umr
insaan musht-e-KHaak kaa ehsaas liye hu.e
Nushur Wahidi
Sher
un ke sitam bhii kah nahii.n sakte kisii se ham
ghuT ghuT ke mar rahe hai.n ajab bebasii se ham
Aal-e-Raza Raza
Sher
Irfan Sattar
Sher
Aziz Bano Darab Wafa
Sher
jab aayaa iid kaa din ghar me.n bebasii kii tarah
to mere phuul se bachcho.n ne mujh ko gher liyaa
Bismil Sabri
Sher
kaun kis kaa Gam khaa.e kaun kis ko bahlaa.e
terii be-kasii tanhaa mary bebasii tanhaa
Sufi Ghulam Mustafa Tabassum
Sher
aa.nsu.o.n se likh rahe hai.n bebasii kii daastaa.n
lag rahaa hai dard kii tasviir ban jaa.e.nge ham
Azm Shakri
Sher
bebasii kaa zahr siine me.n utar jaataa hai kyaa
mai.n jise aavaaz detaa huu.n vo mar jaataa hai kyaa