SEARCH RESULTS
Showing search results for "बेहतर"
Sher MATCHES FOR "बेहतर"
Sher
le chalaa jaan mirii ruuTh ke jaanaa teraa
aise aane se to behtar thaa na aanaa teraa
Dagh Dehlvi
Sher
behtar dino.n kii aas lagaate hu.e 'habiib'
ham behtariin din bhii ga.nvaate chale ga.e
Habeeb Amrohvi
Sher
Ibn e Insha
Sher
behtar to hai yahii ki na duniyaa se dil lage
par kyaa kare.n jo kaam na be-dil-lagii chale
Shaikh Ibrahim Zauq
Sher
tandurustii se to behtar thii mirii biimaarii
vo kabhii puuchh to lete the ki haal achchhaa hai
Hafeez Jaunpuri
Sher
Aale Ahmad Suroor
Sher
aql ye kahtii hai duniyaa miltii hai baazaar me.n
dil magar ye kahtaa hai kuchh aur behtar dekhiye
Javed Akhtar
Sher
aise chhupne se na chhupnaa hii thaa behtar teraa
tuu hai parde me.n magar zikr hai ghar ghar teraa
Jaleel Manikpuri
Sher
shikva-e-zulmat-e-shab se to kahii.n behtar thaa
apne hisse kii ko.ii sham.a jalaate jaate
Ahmad Faraz
Sher
vo zamaanaa bhii tumhe.n yaad hai tum kahte the
dost duniyaa me.n nahi.n 'daaG' se behtar apnaa
Dagh Dehlvi
Sher
aatii hai dhaar un ke karam se shu.uur me.n
dushman mile hai.n dost se behtar kabhii kabhii
Aale Ahmad Suroor
Sher
Nasir Kazmi
Sher
vo ja.ngalo.n me.n daraKHto.n pe kuudte phirnaa
buraa bahut thaa magar aaj se to behtar thaa
Mohammad Alvi
Sher
khulii fazaa me.n agar la.Dkha.Daa ke chal na sake.n
to zahr piinaa hai behtar sharaab piine se