SEARCH RESULTS
Showing search results for "बे-आबरू"
Sher MATCHES FOR "बे-आबरू"
Sher
mahfil me.n terii aa ke yuu.n be-aabruu hu.e
pahle the aap aap se tum tum se tuu hu.e
Nooh Narvi
Sher
tiirgii be-aabruu thii aur tajallii be-vaqaar
ik thakaa-haaraa saa jugnuu kis qadar dil-giir thaa
Wazir Agha
Sher
qaul 'aabruu' kaa thaa ki na jaa.uu.ngaa us galii
ho kar ke be-qaraar dekho aaj phir gayaa
Abroo Shah Mubarak
Sher
nikalnaa KHuld se aadam kaa sunte aa.e hai.n lekin
bahut be-aabruu ho kar tire kuuche se ham nikle
Mirza Ghalib
Sher
chup-chaap apnii aag me.n jalte raho 'faraaz'
duniyaa to arz-e-haal se be-aabruu kare
Ahmad Faraz
Sher
Abroo Shah Mubarak
Sher
Abroo Shah Mubarak
Sher
Abroo Shah Mubarak
Sher
bulbul hu.aa hai dekh sadaa rang kii bahaar
is saal 'aabruu' kuu.n ban aa.ii basant rut
Abroo Shah Mubarak
Sher
Allama Iqbal
Sher
sarsabz rakhiyo kisht ko ai chashm tuu mirii
terii hii aab se hai bas ab aabruu mirii
Nazeer Akbarabadi
Sher
bas chand lamhe pesh-tar vo paa.nv dho ke palTaa hai
aur nuur kaa sailaab saa is aabjuu me.n aa gayaa
Ahmad Khayal
Sher
tiraa qad sarv sii.n KHuubii me.n cha.Dh hai
laTak sumbul setii zulfaa.n sii.n ba.Dh hai