SEARCH RESULTS
Showing search results for "बोल-चाल"
Sher MATCHES FOR "बोल-चाल"
Sher
'saabir' teraa kalaam sune.n kyuu.n na ahl-e-fan
bandish ajab hai aur ajab bol chaal hai
Fazal Husain Sabir
Sher
usii ke zikr se ham shahr me.n hu.e badnaam
vo ek shaKHs ki jis se hamaarii bol na chaal
Prem Kumar Nazar
Sher
abhii to chaak pe jaarii hai raqs miTTii kaa
abhii kumhaar kii niyyat badal bhii saktii hai
Aleena Itrat
Sher
kitnii mazaahiya hai ye botal ke jin kii baat
aaqaa ab inqalaab hai do chaar din kii baat
Aziz Faisal
Sher
sach hai ehsaan kaa bhii bojh bahut hotaa hai
chaar phuulo.n se dabii jaatii hai turbat merii
Jaleel Manikpuri
Sher
haath me.n chaa.nd jahaa.n aayaa muqaddar chamkaa
sab badal jaa.egaa qismat kaa likhaa jaam uThaa
Bashir Badr
Sher
bahut latiif hai.n kaifiyyate.n mohabbat kii
vo bul-havas hai jo kartaa hai jaib o daaman chaak
Mirza Ehsan Beg
Sher
Imran Rahib
Sher
paraa.e dard me.n hotaa nahii.n shariik ko.ii
Gamo.n ke bojh ko KHud aap Dhonaa pa.Dtaa hai
Mahendra Partap Chand
Sher
ai shoKH gulistaa.n mai.n nahii.n ye gul-e-ra.ngii.n
aayaa dil-e-sad-chaak miraa rang badal kar
Siraj Aurangabadi
Sher
na tujh ko maat hu.ii hai na mujh ko maat hu.ii
so ab ke dono.n hii chaale.n badal ke dekhte hai.n
Ahmad Faraz
Sher
lutf-e-shab-e-mah ai dil us dam mujhe haasil ho
ik chaa.nd baGal me.n ho ik chaa.nd muqaabil ho
Mirza Mohammad Taqi Hawas
Sher
auro.n ke bal pe bal na kar itnaa na chal nikal
bal hai to bal ke bal pe tuu kuchh apne bal ke chal
Bahadur Shah Zafar
Sher
Aleena Itrat
Sher
chal diye hai.n bol kar vaapas na lauTe.nge kabhii
chal diye hai.n ik daf'a phir lauT aane ke liye