SEARCH RESULTS
Showing search results for "मंझली"
Sher MATCHES FOR "मंझली"
Sher
kitnaa hai bad-nasiib 'zafar' dafn ke liye
do gaz zamiin bhii na milii kuu-e-yaar me.n
Bahadur Shah Zafar
Sher
Akbar Allahabadi
Sher
Munawwar Rana
Sher
ik fursat-e-gunaah milii vo bhii chaar din
dekhe hai.n ham ne hausle parvardigaar ke
Faiz Ahmad Faiz
Sher
mujh ko mirii shikast kii dohrii sazaa milii
tujh se bichha.D ke zindagii duniyaa se jaa milii
Saqi Faruqi
Sher
Nida Fazli
Sher
ik nayaa zaKHm milaa ek na.ii umr milii
jab kisii shahr me.n kuchh yaar puraane se mile
Kaif Bhopali
Sher
aa.nkhe.n KHudaa ne baKHshii hai.n rone ke vaaste
do kashtiyaa.n milii hai.n Dubone ke vaaste
Muneer Shikohabadi
Sher
kuchh din ke baa'd us se judaa ho ga.e 'muniir'
us bevafaa se apnii tabii.at nahii.n milii
Muneer Niyazi
Sher
KHushii milii to ye aalam thaa bad-havaasii kaa
ki dhyaan hii na rahaa Gam kii be-libaasii kaa
Zafar Iqbal
Sher
Nida Fazli
Sher
tire labo.n ko milii hai shaguftagii gul kii
hamaarii aa.nkh ke hisse me.n jharne aa.e hai.n
Aaga nisaar
Sher
tirii vafaa me.n milii aarzuu-e-maut mujhe
jo maut mil ga.ii hotii to ko.ii baat bhii thii
Khalilur Rahman Azmi
Sher
jannat milii jhuuTo.n ko agar jhuuT ke badle
sachcho.n ko sazaa me.n hai jahannam bhii gavaaraa
Ahmad Nadeem Qasmi
Sher
ik nadii me.n saik.Do.n dariyaa kii tuGyaanii milii
Duubne vaale ko mar jaane kii aasaanii milii
Zafar Imam
Sher
rahnaa thaa us ke saath bahut der tak magar
in roz o shab me.n mujh ko ye fursat nahii.n milii