SEARCH RESULTS
Showing search results for "मंसूबे"
Sher MATCHES FOR "मंसूबे"
Sher
Gam se mansuub karuu.n dard kaa rishta de duu.n
zindagii aa tujhe jiine kaa saliiqa de duu.n
Ali Ahmad Jalili
Sher
Malikzaada Manzoor Ahmad
Sher
tumhaarii zaat se mansuub hai diivaangii merii
tumhii.n se ab mirii diivaangii dekhii nahii.n jaatii
Aziz Warsi
Sher
vo phuul jo mire daaman se ho ga.e mansuub
KHudaa kare unhe.n baazaar kii havaa na lage
Qaisarul Jafri
Sher
tumhaare naam se mansuub ho jaate hai.n diivaane
ye apne hosh me.n hote to pahchaane kahaa.n jaate
Makhmoor Dehlvi
Sher
pa.Dhne vaalaa bhii to kartaa hai kisii se mansuub
sabhii kirdaar kahaanii ke nahii.n hote hai.n
Nazir Wahid
Sher
ye mansab-e-buland milaa jis ko mil gayaa
har mudda.ii ke vaaste daar-o-rasan kahaa.n
Mohammad Ali Khan Rashki
Sher
banaa rakhaa hai mansuuba ka.ii barso.n kaa tuu ne
agar ik din achaanak tujhko marnaa pa.D gayaa to
Asim Wasti
Sher
dilkashii thii unsiyat thii yaa mohabbat yaa junuun
sab maraahil tujh se jo mansuub the achchhe lage
Alok Yadav
Sher
abhii to mansab-e-hastii se mai.n haTaa hii nahii.n
badal ga.e hai.n mire dosto.n ke lahje bhii
Tariq Naeem
Sher
mirii shikast bhii thii merii zaat se mansuub
ki merii fikr kaa har faisla shu.uurii thaa
Akbar Hyderabadi
Sher
Yasmeen Hameed
Sher
ab hayaat-e-insaa.n kaa hashr dekhiye kyaa ho
mil gayaa hai qaatil ko mansab-e-masiihaa.ii
Shahid Siddiqui
Sher
dekhtaa hai kaun 'baabar' kis kaa kyaa kirdaar hai
jis se jo mansuub qissa ho gayaa to ho gayaa