SEARCH RESULTS
Showing search results for "मंसूर"
Sher MATCHES FOR "मंसूर"
Sher
aa.nkho.n se mohabbat ke ishaare nikal aa.e
barsaat ke mausam me.n sitaare nikal aa.e
Mansoor Usmani
Sher
mujh se dillii kii nahii.n dil kii kahaanii suniye
shahr to ye bhii ka.ii baar luTaa hai mujh me.n
Mansoor Usmani
Sher
jahaa.n jahaa.n ko.ii urdu zabaan boltaa hai
vahii.n vahii.n miraa hindostaan boltaa hai
Mansoor Usmani
Sher
aa.nkhe.n thii.n viiraan nazar kaise aataa
dil to thaa biimaar safar kaise kaTtaa
Ali Akbar Mansoor
Sher
pahle to us kii yaad ne sone nahii.n diyaa
phir us kii aahaTo.n ne kahaa jaagte raho
Mansoor Usmani
Sher
Ibn e Insha
Sher
dil na hotaa to ko.ii chiiz na hotii duniyaa
dil bhii kyaa chiiz hai duniyaa pe miTaa jaataa hai
Shafi Mansur
Sher
apnii taariif sunii hai to ye sach bhii sun le
tujh se achchhaa tiraa kirdaar nahii.n ho saktaa
Mansoor Usmani
Sher
KHushbuu se kis zabaan me.n baate.n kare.nge log
mahfil me.n ye savaal tujhe dekh kar hu.aa
Mansoor Usmani
Sher
sard ThiThurii hu.ii lipTii hu.ii sarsar kii tarah
zindagii mujh se milii pichhle december kii tarah
Mansoor Aafaque
Sher
Mansoor Aafaque
Sher
qatra apnaa bhii haqiiqat me.n hai dariyaa lekin
ham ko taqliid-e-tunuk-zarfi-e-mansuur nahii.n
Mirza Ghalib
Sher
jis ko bachaa.e rakhne me.n ajdaad bik ga.e
ham ne usii havelii ko niilaam kar diyaa
Mansoor Usmani
Sher
haalaat kyaa ye tere bichha.Dne se ho ga.e
lagtaa hai jaise ham kisii mele me.n kho ga.e
Mansoor Usmani
Sher
is shahr me.n chaltii hai havaa aur tarah kii
jurm aur tarah ke hai.n sazaa aur tarah kii
Mansoor Usmani
Sher
ye alag baat ki alfaaz hai.n mere lekin
sach to bas ye hai ki terii hii sadaa hai mujh me.n