SEARCH RESULTS
Showing search results for "मक़्सूद"
Sher MATCHES FOR "मक़्सूद"
Sher
milegaa manzil-e-maqsuud kaa usii ko suraaG
a.ndherii shab me.n hai chiite kii aa.nkh jis kaa charaaG
Allama Iqbal
Sher
ek haathii ek raaja ek raanii ke baGair
nii.nd bachcho.n ko nahii.n aatii kahaanii ke baGair
Maqsood Bastavi
Sher
jahaa.n me.n manzil-e-maqsuud Dhuu.nDne vaale
ye kaa.enaat kii tasviir hii KHayaalii hai
Shahzad Ahmad
Sher
jiinaa mushkil to bahut hai tirii is duniyaa me.n
lekin is KHvaab ko marnaa bhii nahii.n chaahiye hai
Maqsood Wafa
Sher
ham aap hii ko apnaa maqsuud jaante hai.n
apne sivaa.e kis ko maujuud jaante hai.n
Meer Taqi Meer
Sher
maqsuud hai aa.ankho.n se tiraa dekhnaa pyaare
jab tuu hii na ho paas to kis kaam kii aa.nhke.n
Mushafi Ghulam Hamdani
Sher
hayaat laakh ho faanii magar ye sun rakhiye
hayaat se jo hai maqsuud Gair-faanii hai
Kalidas Gupta Raza
Sher
mil hii jaa.egii kabhii manzil-e-maqsuud-e-sahar
shart ye hai ki safar karte raho shaam ke saath
Aziz Tamannai
Sher
tash.hiir to maqsuud nahii.n qissa-e-dil kii
so tujh ko likhaa terii nishaanii nahii.n likkhii
Ambareen Haseeb ambar
Sher
talaash-e-ma.ani-e-maqsuud itnii sahl na thii
mai.n lafz lafz utartaa gayaa bahut gahraa
Faza Ibn e Faizi
Sher
ko.ii samjhaa.iyo yaaro miraa mahbuub jaataa hai
miraa maqsuud jaataa hai miraa matluub jaataa hai
Bayan Ahsanullah Khan
Sher
hamaaraa kaaba-e-maqsuud teraa taaq-e-abruu hai
tirii chashm-e-siyah ko ham ne aahu-e-haram paayaa
Haidar Ali Aatish
Sher
kahaa.n thii manzil-e-maqsuud apnii qismat me.n
kisii kii raahguzar bhii milii hai mushkil se
Afsar Mahpuri
Sher
aarzuu KHuub hai mauqa.a se agar ho varna
apne maqsuud ko kam pahu.nche hai.n bisyaar-talab
Nazeer Akbarabadi
Sher
ek din vo thaa ki gulshan me.n basar hotii thii
aaj do phuul ko mohtaaj hai turbat merii
Maqsood Gelvi
Sher
suKHanvarii se hai maqsuud ma.arifat fan kii
mai.n be-hunar huu.n talaash-e-hunar me.n rahtaa huu.n